Shayari
tu june ki garmi se na ghabraa ki jahaan mein
ye lu to hamesha na rahi hai na rahegi
bastiyaan tu ne khalaaon mein basaain bhi to kyaa
dil ke viraanon ko dekh in ko bhi kuchh aabaad kar
بستیاں تو نے خلاؤں میں بسائیں بھی تو کیا
دل کے ویرانوں کو دیکھ ان کو بھی کچھ آباد کر
बस्तियाँ तू ने ख़लाओं में बसाईं भी तो क्या
दिल के वीरानों को देख इन को भी कुछ आबाद कर

tu june ki garmi se na ghabraa ki jahaan mein
ye lu to hamesha na rahi hai na rahegi
tavil raat bhi aakhir ko khatm hoti hai
'sharif' ham na andheron se maat khaaeinge
ghunuda raahon ko tak tak ke sogvaar na ho
tire qadam hi musaafir inhein jagaaeinge
gulzaar mein vo rut bhi kabhi aa ke rahegi
jab koi kali jaur khizaan ke na sahegi
khanda-e-mauj miri tishna-labi ne jaanaa
ret kaa taptaa huaa dekh ke zarra koi
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
unhein apne dil ki khabrein mire dil se mil rahi hain
main jo un se ruuTh jaaun to payaam tak na pahunche
shama bujh kar rah gai parvaana jal kar rah gayaa
yaadgaar-e-husn-o-ishq ik daagh dil par rah gayaa
main badalte hue haalaat mein Dhal jaataa huun
dekhne vaale adaakaar samajhte hain mujhe
dil-e-haris hi apnaa na ho sakaa qaane
vagarna tere karam mein to kuchh kami na rahi
chaand ne taan li hai chaadar-e-abr
ab vo kapDe badal rahi hogi