Shayari
ye kis azaab mein chhoDaa hai tu ne is dil ko
sukun yaad mein teri na bhulne mein qaraar
haan ai gham-e-ishq mujh ko pahchaan
dil ban ke dhaDak rahaa huun kab se
ہاں اے غم عشق مجھ کو پہچان
دل بن کے دھڑک رہا ہوں کب سے
हाँ ऐ ग़म-ए-इश्क़ मुझ को पहचान
दिल बन के धड़क रहा हूँ कब से

ye kis azaab mein chhoDaa hai tu ne is dil ko
sukun yaad mein teri na bhulne mein qaraar
kuchh aisaa dhuaan hai ki ghuTTi jaati hain saansein
is raat ke baa'd aaoge shaayad na kabhi yaad
ham-safar ho to koi apnaa-saa
chaand ke saath chaloge kab tak
har samt falak-bos pahaaDon ki qataarein
'khusrav' hai na 'shirin' hai na tesha hai na farhaad
jab tujhe bhulnaa chaahaa dil ne
ik nae gham ki sazaa di ham ne
parde mein khamoshi ke burqe mein udaasi ke
shaayad koi aa jaae darvaaza khulaa rakhnaa
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
ik rivaayat hai jo sadiyon se chali aati hai
ik taraf ishq hai aur ek taraf duniyaa hai
lahu na ho to qalam tarjumaan nahin hotaa
hamaare daur mein aansu zabaan nahin hotaa
ruh-o-badan mein jaari hai ik maarka-e-khun sadiyon se
ek havaala miTTi kaa hai ek havaala paani kaa