Shayari
shamshir ba-kaf huun na koi jism mein jumbish
main kis ke muqaabil huun ki maaraa nahin jaataa
shauq mein pahni thi bas zanjir kyaa maa'lum thaa
beDiyon ki shakl le legi ye naagin ek din
شوق میں پہنی تھی بس زنجیر کیا معلوم تھا
بیڑیوں کی شکل لے لے گی یہ ناگن ایک دن
शौक़ में पहनी थी बस ज़ंजीर क्या मा'लूम था
बेड़ियों की शक्ल ले लेगी ये नागिन एक दिन

shamshir ba-kaf huun na koi jism mein jumbish
main kis ke muqaabil huun ki maaraa nahin jaataa
ye saare zakhmi gunge hain
ye saari duniyaa andhi hai
havaa hai aasmaan hai aag hai paani hai miTTi hai
nuqush-e-yaar gar hote to main duniyaa banaa letaa
kaanon mein gunjti hai vo aavaaz dam-ba-dam
ik haath rah gayaa hai kahin haath chhoD kar
kahte hain aise vaqt mein vaajib hai jhuuT bhi
tu jhuuT koi bol ki dil phir se ji uThe
nashsha-e-hosh chaDhaa jaataa hai rafta rafta
zindagi phir se hui jaati hai mubham mubham
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
tumhein fursat ho duniyaa se to ham se aa ke milnaa
hamaare paas fursat ke sivaa kyaa rah gayaa hai
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
zamaana mujh se judaa ho gayaa zamaana huaa
rahaa hai ab to bichhaDne ko mujh se tu baaqi
ret par ik nishaan hai shaayad
ye hamaaraa makaan hai shaayad