Shayari
log kaanTon se bach ke chalte hain
main ne phulon se zakhm khaae hain
dhokaa na khaao chaaraagaro vaaqiaat se
pahlu mein dil nahin hai to kyaa dard bhi nahin
دھوکا نہ کھاؤ چاراگرو واقعات سے
پہلو میں دل نہیں ہے تو کیا درد بھی نہیں
धोका न खाओ चारागारो वाक़िआत से
पहलू में दिल नहीं है तो क्या दर्द भी नहीं

log kaanTon se bach ke chalte hain
main ne phulon se zakhm khaae hain
dil TuTne se thoDi si taklif to hui
lekin tamaam umr ko aaraam ho gayaa
duniyaa mein vahi shakhs hai taazim ke qaabil
jis shakhs ne haalaat kaa rukh moD diyaa ho
miri namaaz-e-janaaza paDhi hai ghairon ne
mare the jin ke liye vo rahe vazu karte
ye hamin hain ki tiraa dard chhupaa kar dil mein
kaam duniyaa ke ba-dastur kiye jaate hain
jin ke kirdaar se aati ho sadaaqat ki mahak
un ki tadris se patthar bhi pighal sakte hain
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
dard chehra pahan ke aayaa thaa
teraa chehra thaa so qubul kiyaa
duniyaa badal gai thi koi gham na thaa mujhe
tum bhi badal gae the ye hairaani khaa gai
shirkat-e-gham bhi nahin chaahti ghairat meri
ghair ki ho ke rahe yaa shab-e-furqat meri