Shayari
log kaanTon se bach ke chalte hain
main ne phulon se zakhm khaae hain
gham to ho had se sivaa aur ashk-afshaani na ho
us se puchho jis kaa ghar jaltaa ho aur paani na ho
غم تو ہو حد سے سوا اور اشک افشانی نہ ہو
اس سے پوچھو جس کا گھر جلتا ہو اور پانی نہ ہو
ग़म तो हो हद से सिवा और अश्क-अफ़्शानी न हो
उस से पूछो जिस का घर जलता हो और पानी न हो

log kaanTon se bach ke chalte hain
main ne phulon se zakhm khaae hain
dil TuTne se thoDi si taklif to hui
lekin tamaam umr ko aaraam ho gayaa
duniyaa mein vahi shakhs hai taazim ke qaabil
jis shakhs ne haalaat kaa rukh moD diyaa ho
miri namaaz-e-janaaza paDhi hai ghairon ne
mare the jin ke liye vo rahe vazu karte
ye hamin hain ki tiraa dard chhupaa kar dil mein
kaam duniyaa ke ba-dastur kiye jaate hain
jin ke kirdaar se aati ho sadaaqat ki mahak
un ki tadris se patthar bhi pighal sakte hain
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
tujhe bhi dekh liyaa ham ne o khudaa-e-ajal
ki teraa zor chalaa bhi to ahl-e-gham pe chalaa
tum jo chaaho to mire dard kaa darmaan ho jaae
varna mushkil hai ki mushkil miri aasaan ho jaae
ik sadma-e-mohabbat ik sadma-e-judaai
ginti ke do hain lekin laakhon ki jaan par hain