Shayari
dasht ki naa-tamaam raahon par
koi saathi hai to shajar tanhaa
'arsh' bahaaron mein bhi aayaa ek nazaara patjhaD kaa
sabz shajar ke sabz tane par ik sukhi si Daali thi
عرشؔ بہاروں میں بھی آیا ایک نظارہ پت جھڑ کا
سبز شجر کے سبز تنے پر اک سوکھی سی ڈالی تھی
'अर्श' बहारों में भी आया एक नज़ारा पतझड़ का
सब्ज़ शजर के सब्ज़ तने पर इक सूखी सी डाली थी

dasht ki naa-tamaam raahon par
koi saathi hai to shajar tanhaa
nayaa nayaa hai so kah lo ise akelaa-pan
phir is maraz ke kai aur naam aaeinge
nai nahin hai ye tanhaai mere hujre ki
maraz ho koi bhi hai chaaraagar se Dar jaanaa
ik mohabbat bhare cinema mein
mere marne kaa scene mere khvaab
main bahut duur se aaya huun ik ummid liye
baiThne mat do magar naam to batlaane do
ai zindagi kabhi inkaar kaa sabab bhi sun
main thak gayaa huun teri haan mein haan milaate hue
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
sabza o gul kahaan se aae hain
abr kyaa chiiz hai havaa kyaa hai
sayyaad teraa ghar mujhe jannat sahi magar
jannat se bhi sivaa mujhe raahat chaman mein thi
teraa ghar aur meraa jangal bhigtaa hai saath saath
aisi barsaatein ki baadal bhigtaa hai saath saath
gul kiyaa jis ne vo thaa aur magar
shama ne shikva havaaon se kiyaa
gulaabon ke honTon pe lab rakh rahaa huun
use der tak sochnaa chaahtaa huun