Shayari
muddatein ho gaiin hisaab kiye
kyaa pataa kitne rah gae hain ham
ishq binaai baDhaa detaa hai
jaane kyaa kyaa nazar aataa hai mujhe
عشق بینائی بڑھا دیتا ہے
جانے کیا کیا نظر آتا ہے مجھے
इश्क़ बीनाई बढ़ा देता है
जाने क्या क्या नज़र आता है मुझे

muddatein ho gaiin hisaab kiye
kyaa pataa kitne rah gae hain ham
iraada to nahin hai khud-kushi kaa
magar main zindagi se khush nahin huun
dekhnaa chaahtaa huun gum ho kar
kyaa koi DhunD ke laataa hai mujhe
jise dekho ghazal pahne hue hai
bahut sastaa ye zevar gayaa hai
asar hai ye hamaari dastakon kaa
jahaan divaar thi dar ho gayaa hai
mujh ko aksar udaas karti hai
ek tasvir muskuraati hui
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
vo jaa chukaa hai magar phuul khil rahe hain abhi
mohabbaton ko tamaashaa banaa diyaa us ne
piyein saaqi ke haathon se mai-e-ulfat piyein jab bhi
mire naaseh bas itni paarsaai chaahte hain ham
raah-e-dur-e-ishq mein rotaa hai kyaa
aage aage dekhiye hotaa hai kyaa
ghar aur bayaabaan mein koi farq nahin hai
laazim hai magar ishq ke aadaab mein rahnaa