Shayari
ham ye to nahin kahte ki ham tujh se baDe hain
lekin ye bahut hai ki tire saath khaDe hain
honTon ko roz ik nae dariyaa ki aarzu
le jaaegi ye pyaas ki aavaargi kahaan
ہونٹوں کو روز اک نئے دریا کی آرزو
لے جائے گی یہ پیاس کی آوارگی کہاں
होंटों को रोज़ इक नए दरिया की आरज़ू
ले जाएगी ये प्यास की आवारगी कहाँ

ham ye to nahin kahte ki ham tujh se baDe hain
lekin ye bahut hai ki tire saath khaDe hain
tahrir se varna miri kyaa ho nahin saktaa
ik tu hai jo lafzon mein adaa ho nahin saktaa
raat to vaqt ki paaband hai Dhal jaaegi
dekhnaa ye hai charaaghon kaa safar kitnaa hai
bhare makaan kaa bhi apnaa nasha hai kyaa jaane
sharaab-khaane mein raatein guzaarne vaalaa
shartein lagaai jaati nahin dosti ke saath
kiije mujhe qubul miri har kami ke saath
hamaare ghar kaa pataa puchhne se kyaa haasil
udaasiyon ki koi shahriyat nahin hoti
miri tamannaa hai ab ke tum phir milo to ji bhar ke muskuraaein
ki dekhnaa hai ye raushni kaa safar bahut der baa'd jaa kar
ab bhi barsaat ki raaton mein badan TuTtaa hai
jaag uThti hain ajab khvaahishein angDaai ki
bas ek pal ki tamannaa-e-vasl ki khaatir
tamaam 'umr lagaa di gai sanvarne mein
tabaah kar gai pakke makaan ki khvaahish
main apne gaanv ke kachche makaan se bhi gayaa
hasrat-e-mausam-e-gulaab huun main
sach na ho paaegaa vo khvaab huun main
khushi ki aarzu kyaa dil mein Thahre
tire gham ne biThaa rakkhe hain pahre