Shayari
haae vo shokh sandali qaamat
jis ne mujh be-niyaaz ko maaraa
jo tum na hogi to dil haveli saraae hogi
saraae jis mein hasin chehre rukaa kareinge
جو تم نہ ہوگی تو دل حویلی سرائے ہوگی
سرائے جس میں حسین چہرے رکا کریں گے
जो तुम न होगी तो दिल हवेली सराए होगी
सराए जिस में हसीन चेहरे रुका करेंगे

haae vo shokh sandali qaamat
jis ne mujh be-niyaaz ko maaraa
chal diye hain bol kar vaapas na lauTeinge kabhi
chal diye hain ik daf'a phir lauT aane ke liye
tum jo kahte ho chuum loge hamein
karne vaale kahaa nahin karte
us ne din jaldi Dhalne ki khvaahish ki
dharti ne raftaar baDhaa di gardish ki
pahle tu ik jhuTe gham mein miT jaane kaa naaTak rach
phir duniyaa ko jaa jaa kar batlaa tu kitne dukh mein hai
aisi tanhaa raaton mein hi aati hai
ek ghazal jo shaa'ir ko khaa jaati hai
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
band ho jaataa hai kuuze mein kabhi dariyaa bhi
aur kabhi qatra samundar mein badal jaataa hai
kitaabon se na daanish ki faraavaani se aayaa hai
saliqa zindagi kaa dil ki naadaani se aayaa hai
subh hoti hai to daftar mein badal jaataa hai
ye makaan raat ko phir ghar mein badal jaataa hai
ghar se baahar nahin niklaa jaataa
raushni yaad dilaati hai tiri