Shayari
jab tak tumhaaraa husn numaayaan na ho sakaa
raushan charaagh-e-aalam-e-imkaan na ho sakaa
Z
Zahida Kamalkahnaa paDaa unhin ko masihaa-e-vaqt bhi
jin se hamaare dard kaa darmaan na ho sakaa
کہنا پڑا انہیں کو مسیحائے وقت بھی
جن سے ہمارے درد کا درماں نہ ہو سکا
कहना पड़ा उन्हीं को मसीहा-ए-वक़्त भी
जिन से हमारे दर्द का दरमाँ न हो सका
jab tak tumhaaraa husn numaayaan na ho sakaa
raushan charaagh-e-aalam-e-imkaan na ho sakaa
afsaana-e-hayaat bani phuul ban gai
jab muskuraai koi kali iztiraab mein
shaamil na hote husn ke jalve agar 'kamaal'
hotaa kahaan ye nuur shab-e-maahtaab mein
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
dil to rotaa rahe aur aankh se aansu na bahe
ishq ki aisi rivaayaat ne dil toD diyaa
kyaa gham hai jo ham gumnaam rahe tum to na magar badnaam hue
achchhaa hai ki mere marne par duniyaa mein miraa maatam na huaa
kaun kis kaa gham khaae kaun kis ko bahlaae
teri be-kasi tanhaa mary bebasi tanhaa