Shayari
main payambar tiraa nahin lekin
mujh se bhi baat kar khudaa mere
khuli chhaton se chaandni raatein katraa jaaeingi
kuchh ham bhi tanhaai ke aadi ho jaaeinge
کھلی چھتوں سے چاندنی راتیں کترا جائیں گی
کچھ ہم بھی تنہائی کے عادی ہو جائیں گے
खुली छतों से चाँदनी रातें कतरा जाएँगी
कुछ हम भी तन्हाई के आदी हो जाएँगे

main payambar tiraa nahin lekin
mujh se bhi baat kar khudaa mere
jaag ke mere saath samundar raatein kartaa hai
jab sab log chale jaaein to baatein kartaa hai
talaash ek bahaana thaa khaak uDaane kaa
pata chalaa ki hamein justuju-e-yaar na thi
dil ko sambhaale hanstaa boltaa rahtaa huun lekin
sach puchho to 'zeb' tabiat Thiik nahin hoti
jagmagaataa huaa khanjar mire siine mein utaar
raushni le ke kabhi khaana-e-viraan mein aa
uDaa ke khaak bahut main ne dekh li ai 'zeb'
vahaan talak to koi raasta nahin jaataa
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
fariyaad ki aati hai sadaa siine se har dam
meraa dil-e-naalaan hai ki angrezi ghaDi hai
ab kunj-e-lahad mein huun mayassar nahin aansu
aayaa hai shab-e-hijr kaa ronaa mire aage
dil dhaDaktaa hai shab-e-gham mein kahin aisaa na ho
marg bhi ban kar mizaaj-e-yaar tarsaae mujhe