Shayari
us bevafaa ne ham ko agar apne ishq mein
rusvaa kiyaa kharaab kiyaa phir kisi ko kyaa
N
Nazeer Akbar AbadiThe most powerful verses on betrayal — when love turns into heartbreak.
us bevafaa ne ham ko agar apne ishq mein
rusvaa kiyaa kharaab kiyaa phir kisi ko kyaa
is se pahle ki be-vafaa ho jaaein
kyuun na ai dost ham judaa ho jaaein
mere baa'd vafaa kaa dhokaa aur kisi se mat karnaa
gaali degi duniyaa tujh ko sar meraa jhuk jaaegaa
duniyaa ne teri yaad se begaana kar diyaa
tujh se bhi dil-fareb hain gham rozgaar ke
chalaa thaa zikr zamaane ki bevafaai kaa
so aa gayaa hai tumhaaraa khayaal vaise hi
kisi bevafaa ki khaatir ye junun 'faraaz' kab tak
jo tumhein bhulaa chukaa hai use tum bhi bhuul jaao
is qadar musalsal thiin shiddatein judaai ki
aaj pahli baar us se main ne bevafaai ki
us ke yuun tark-e-mohabbat kaa sabab hogaa koi
ji nahin ye maantaa vo bevafaa pahle se thaa
fareb-e-aarzu ki sahl-angaari nahin jaati
ham apne dil ki dhaDkan ko tiri aavaaz-e-paa samjhe
ahbaab ko de rahaa huun dhokaa
chehre pe khushi sajaa rahaa huun
haan vo nahin khudaa-parast jaao vo bevafaa sahi
jis ko ho diin o dil aziiz us ki gali mein jaae kyuun
phir usi bevafaa pe marte hain
phir vahi zindagi hamaari hai
hasti ke mat fareb mein aa jaaiyo 'asad'
aalam tamaam halqa-e-daam-e-khayaal hai
aashiq huun pa maashuq-farebi hai miraa kaam
majnun ko buraa kahti hai lailaa mire aage
lo phir tire labon pe usi bevafaa kaa zikr
ahmad 'faraaz' tujh se kahaa na bahut huaa
us ne mujhe dar-asl kabhi chaahaa hi nahin thaa
khud ko de kar ye bhi dhokaa, dekh liyaa hai
bevafaai pe teri ji hai fidaa
qahr hotaa jo baa-vafaa hotaa
husn thaa teraa bahut aalam-fareb
khat ke aane par bhi ik aalam rahaa
ik ajab haal hai ki ab us ko
yaad karnaa bhi bevafaai hai
us ke ifaa-e-ahd tak na jiye
umr ne ham se bevafaai ki
kuchh to majburiyaan rahi hongi
yuun koi bevafaa nahin hotaa
sar jhukaaoge to patthar devtaa ho jaaegaa
itnaa mat chaaho use vo bevafaa ho jaaegaa
zindagi ke udaas lamhon mein
bevafaa dost yaad aate hain
har dil-fareb chiiz nazar kaa ghubaar hai
aankhein hasin hon to khizaan bhi bahaar hai