Shayari
saaqi mujhe sharaab ki tohmat nahin pasand
mujh ko tiri nigaah kaa ilzaam chaahiye
zindagi ke udaas lamhon mein
bevafaa dost yaad aate hain
زندگی کے اداس لمحوں میں
بے وفا دوست یاد آتے ہیں
ज़िंदगी के उदास लम्हों में
बेवफ़ा दोस्त याद आते हैं

saaqi mujhe sharaab ki tohmat nahin pasand
mujh ko tiri nigaah kaa ilzaam chaahiye
taklif miT gai magar ehsaas rah gayaa
khush huun ki kuchh na kuchh to mire paas rah gayaa
sirf ik qadam uThaa thaa ghalat raah-e-shauq mein
manzil tamaam umr mujhe DhunDhti rahi
kahte hain umr-e-rafta kabhi lauTti nahin
jaa mai-kade se meri javaani uThaa ke laa
jin se insaan ko pahunchti hai hamesha taklif
un kaa daavaa hai ki vo asl khudaa vaale hain
ai gham-e-zindagi na ho naaraaz
mujh ko aadat hai muskuraane ki
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
vo dard huun koi chaara nahin hai jis kaa kahin
vo zakhm huun ki hai dushvaar indimaal miraa
baarish ke baa'd raat saDak aaina si thi
ik paanv paaniyon pe paDaa chaand hil gayaa
nur-e-sahar kahaan hai agar shaam-e-gham gai
kab iltifaat thaa ki jo khu-e-sitam gai