SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byAbdul Hamid Adam(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"gunaah-e-jurat-e-tadbir kar rahaa huun main ye kis qimaash ki taqsir kar rahaa huun main main jaantaa huun alaamat hai zoaf himmat ki jise nasib se taabir kar rahaa huun main abhi tadabbur-o-tadbir kaa nahin mauqaa abhi himaayat-e-taqdir kar rahaa huun main hujum-e-hashr mein kholungaa adl kaa daftar abhi to faisle tahrir kar rahaa huun main javaab dene ki aadat nahin khudaa ko agar to kyaa parastish-e-tasvir kar rahaa huun main tabaah ho ke haqaaeq ke khurdure-pan se tasavvuraat ki taamir kar rahaa huun main khudaa ke aage 'adam' zikr-e-azmat-e-insaan ghalat maqaam pe taqrir kar rahaa huun main"
Abdul Hamid AdamAbdul Hamid Adam
Quote
"ek dilkash zahr se labrez paimaane kaa naam zindagi kyaa hai khushi se jal ke mar jaane kaa naam 'aql hai bil-maslahat be-ai'tamaadi ki ravish 'ishq hai be-saakhta imaan le aane kaa naam aagahi kyaa hai musalsal khud-farebi kaa chalan raushni kyaa hai fareb-e-mustaqil khaane kaa naam khaamushi uryaani-e-mafhum kaa taabish-kada guftugu maa'shuq ko malbus pahnaane kaa naam ab mujhe daar-o-rasan ki samt muDne dijiye aap ne khud to chunaa thaa mere afsaane kaa naam khvaahishon ki ibtidaa ghunche chaTakhne ki sadaa khvaahishon ki intihaa phulon ke murjhaane kaa naam dost-daari kaa ye pairaaya bhi kyaa dilchasp hai le rahe hain saamne mere vo begaane kaa naam hain 'adam' ke zikr par kyon aap itne pur-ghazab sham' ke hamraah aa jaataa hai parvaane kaa naam"
Abdul Hamid AdamAbdul Hamid Adam
Quote
"kashti chalaa rahaa hai magar kis adaa ke saath ham bhi na Duub jaaein kahin naa-khudaa ke saath dil ki talab paDi hai to aayaa hai yaad ab vo to chalaa gayaa thaa kisi dilrubaa ke saath jab se chali hai aadam o yazdaan ki daastaan har baa-vafaa kaa rabt hai ik bevafaa ke saath mehmaan mezbaan hi ko bahkaa ke le uDaa khushbu-e-gul bhi ghuum rahi hai sabaa ke saath pir-e-mughaan se ham ko koi bair to nahin thoDaa saa ikhtilaaf hai mard-e-khudaa ke saath shaikh aur bahisht kitne taajjub ki baat hai yaa-rab ye zulm khuld ki aab-o-havaa ke saath paDhtaa namaaz main bhi huun par ittifaaq se uThtaa huun nisf raat ko dil ki sadaa ke saath mahshar kaa khair kuchh bhi natija ho ai 'adam' kuchh guftugu to khul ke kareinge khudaa ke saath"
Abdul Hamid AdamAbdul Hamid Adam
Quote
"vo abru yaad aate hain vo mizhgaan yaad aate hain na puchho kaise kaise tir-o-paikaan yaad aate hain vo jin ke taht jhuk jaataa thaa sar asnaam ke aage vahi bhule hue ahkaam-e-yazdaan yaad aate hain jo aksar baar-var hone se pahle TuuT jaate the vahi khasta shikasta ahd-o-paimaan yaad aate hain vo marmar ki tarah shaffaaf aur hanste hue aazaa hayaat-e-jaavidaan ke saaz-o-saamaan yaad aate hain gumaan hotaa hai vahshi nikhaton ne bheinch Daalaa hai kuchh itne be-mahaabaa sumbulistaan yaad aate hain vo gul-andaaz jin kaa khalq sarmaaya thaa jiine kaa vo ban ban kar charaagh-e-mahfil-e-jaan yaad aate hain khayaal aataa hai jab bhi dilbaron ki ham-nashini kaa talaatum rang ke khushbu ke tufaan yaad aate hain uDi phirti thi boson ki chaTak jin ki fazaaon mein vo ehsaasaat mein Duube shabistaan yaad aate hain faqih-o-shaikh ke zehnon mein but honge khudaaon ke main insaan huun mujhe to sirf insaan yaad aate hain piyaala shaam ko rakhtaa huun jab bhi main 'adam' aage javaan ham-joliyon ke ru-e-khandaan yaad aate hain"
Abdul Hamid AdamAbdul Hamid Adam
Quote
"jahaan vo zulf-e-barham kaargar mahsus hoti hai vahaan Dhalti hui har dopahar mahsus hoti hai vahi shai maqsad-e-qalb-o-nazar mahsus hoti hai kami jis ki baraabar umr bhar mahsus hoti hai jatan bhi kyaa hasin sujhaa hai tujh ko pyaar karne kaa tiri surat mujhe apni nazar mahsus hoti hai gali kuchon mein sehn-e-mai-kada kaa rang hotaa hai mujhe duniyaa tiraa kaif-e-nazar mahsus hoti hai zaraa aage chaloge to izaafa ilm mein hogaa mohabbat pahle pahle be-zarar mahsus hoti hai ye do patthar na jaane kab se aapas mein hain vaabasta jabin apni tumhaaraa sang-e-dar mahsus hoti hai kabhi sach to nahin us aankh ne bolaa magar phir bhi ravayye mein nihaayat mo'atabar mahsus hoti hai adam ab doston ki be-rukhi ki hai ye kaifiyyat khaTakti to nahin itni magar mahsus hoti hai"
Abdul Hamid AdamAbdul Hamid Adam
Quote
"kyaa baat hai ai jaan-e-sukhan baat kiye jaa maahaul pe naghmaat ki barsaat kiye jaa duniyaa ki nigaahon mein baDi hirs bhari hai naa-ahl zamaane se hijaabaat kiye jaa neki kaa iraada hai to phir puchhnaa kaisaa din raat faqiron ki mudaaraat kiye jaa chalte rahein madhosh piyaalon ki ravish par naadaan sitaaron ko hidaayaat kiye jaa allaah tiraa husn kare aur ziyaada ham raah-nashinon se mulaaqaat kiye jaa ban aae javaabaat to mil jaaeinge khud hi ai daavar-e-mahshar tu savaalaat kiye jaa hasti o adam kyaa hain ba-juz jumbish-e-abru ai jaan-e-kinaayaat ishaaraat kiye jaa kahtaa hai 'adam' mujh ko har ik gosha-e-hasti aayaa hai to kuchh sair-e-kharaabaat kiye jaa"
Abdul Hamid AdamAbdul Hamid Adam
Quote
"muskuraa kar khitaab karte ho aadatein kyuun kharaab karte ho maar do mujh ko rahm-dil ho kar kyaa ye kaar-e-savaab karte ho muflisi aur kis ko kahte hain! daulaton kaa hisaab karte ho sirf ik iltijaa hai chhoTi si kyaa use baaryaab karte ho ham to tum ko pasand kar baiThe tum kise intikhaab karte ho khaar ki nok ko lahu de kar intizaar-e-gulaab karte ho ye nai ehtiyaat dekhi hai aaine se hijaab karte ho kyaa zarurat hai bahs karne ki kyuun kaleja kabaab karte ho ho chukaa jo hisaab honaa thaa aur ab kyaa hisaab karte ho ek din ai 'adam' na pi to kyaa roz shaghl-e-sharaab karte ho kitne be-rahm ho 'adam' tum bhi zikr-e-ahd-e-shabaab karte ho ho kisi ki khushi gar is mein 'adam' jurm kaa irtikaab karte ho"
Abdul Hamid AdamAbdul Hamid Adam
Quote
"sitaaron ke aage jo aabaadiyaan hain tiri zulf ki gum-shuda vaadiyaan hain zamaana bhi kyaa raunaqon ki jagah hai kahin ronaa-dhonaa kahin shaadiyaan hain tiri kaakulein hi nahin sabz pariyaan miri aarzuein bhi shahzaadiyaan hain baDi shai hai vaabastagi do dilon ki ye paabandiyaan hi to aazaadiyaan hain jahaan qadr hai kuchh na kuchh aadmi ki vo kyaa qaabil-e-qadr aabaadiyaan hain yakaayak na dil pheinknaa aankh vaalo ye sab aankh ki fitna-ijaadiyaan hain gharibon se kyaa kaam aasaaishon kaa vo unche gharaanon ki shahzaadiyaan hain 'adam' suraton ki chamak par na jaanaa ye sab aankh ki fitna-ijaadiyaan hain jahaan bhi 'adam' koi dilbar makin hai vahaan kitni gunjaan aabaadiyaan hain"
Abdul Hamid AdamAbdul Hamid Adam
Quote
"dil Duub na jaaein pyaason ke taklif zaraa farmaa denaa ai dost kisi mai-khaane se kuchh ziist kaa paani laa denaa tufaan-e-havaadis se pyaare kyuun itnaa pareshaan hotaa hai aasaar agar achchhe na hue ik saaghar-e-mai chhalkaa denaa zulmaat ke jhurmuT vaise to bijli ki chamak se Darte hain par baat agar kuchh baDh jaae taaron se subu Takraa denaa ham hashr mein aate to un ki tashhir kaa baais ho jaate tashhir se bachne vaalon ko ye baat zaraa samjhaa denaa main pairahan-e-hasti mein bahut uryaan saa dikhaai detaa huun ai maut miri uryaani ko malbus-e-'adam' pahnaa denaa"
Abdul Hamid AdamAbdul Hamid Adam
Quote
"bahut se logon ko gham ne jilaa ke maar diyaa jo bach rahe the unhein mai pilaa ke maar diyaa ye kyaa adaa hai ki jab un ki barhami se ham na mar sake to hamein muskuraa ke maar diyaa na jaate aap to aaghosh kyuun tahi hoti gae to aap ne pahlu se jaa ke maar diyaa mujhe gila to nahin aap ke taghaaful se magar huzur ne himmat baDhaa ke maar diyaa na aap aas bandhaate na ye sitam hotaa hamein to aap ne amrit pilaa ke maar diyaa kisi ne husn-e-taghaaful se jaan talab kar li kisi ne lutf ke dariyaa bahaa ke maar diyaa jise bhi main ne ziyaada tapaak se dekhaa usi hasin ne patthar uThaa ke maar diyaa vo log maangeinge ab ziist kis ke aanchal se? jinhein huzur ne daaman chhuDaa ke maar diyaa chale to khanda-mizaaji se jaa rahe the ham kisi hasin ne raste mein aa ke maar diyaa rah-e-hayaat mein kuchh aise pech-o-kham to na the kisi hasin ne raste mein aa ke maar diyaa karam ki surat-e-avval to jaan-gudaaz na thi karam kaa dusraa pahlu dikhaa ke maar diyaa ajiib ras-bharaa rahzan thaa jis ne logon ko tarah tarah ki adaaein dikhaa ke maar diyaa ajiib khulq se ik ajnabi musaafir ne hamein khilaaf-e-tavaqqoa bulaa ke maar diyaa 'adam' baDe adab-aadaab se hasinon ne hamein sitam kaa nishaana banaa ke maar diyaa taayyunaat ki had tak to ji rahaa thaa 'adam' taayyunaat ke parde uThaa ke maar diyaa"
Abdul Hamid AdamAbdul Hamid Adam
Quote
"mujh se chunaan-chunin na karo main nashe main huun main jo kahun nahin na karo main nashe mein huun insaan nashe mein ho to vo chhuptaa nahin kabhi har-chand tum yaqin na karo main nashe mein huun ye vaqt hai faraakh-dili ke suluk kaa tang apni aastin na karo main nashe mein huun be-ikhtiyaar chuum na luun main kahin inhein aankhon ko khashmagin na karo main nashe mein huun har-chand mere haq mein hai ye rahmat-e-khudaa aanchal mire qarin na karo main nashe mein huun nashshe mein surkh rang tahi-az-khatar nahi? honTon ko ahmarin na karo main nashe mein huun dekho main kah rahaa huun tumhein pai-ba-pai 'adam' mujh ko bahut hazin na karo main nashe mein huun"
Abdul Hamid AdamAbdul Hamid Adam
Quote
"faqir kis darja shaadmaan the huzur ko kuchh to yaad hogaa huzur kis darja mehrbaan the huzur ko kuchh to yaad hogaa vo mai-kada thaa sanam-kada thaa ki baab-e-jannat khule hue the tamaam shab aap ham kahaan the huzur ko kuchh to yaad hogaa vahaan bahaaron ke zamzame the vahaan nigaaron ke jamgaThe the vahaan sitaaron ke kaarvaan the huzur ko kuchh to yaad hogaa pahan ke phulon ke taaj sar par hasin-o-shaadaab masnadon par subu-ba-kaf kaun hukmaraan the huzur ko kuchh to yaad hogaa maraahil-e-raahat-o-amaan the masaail-e-maah-o-kahkashaan the mashaaghil-e-harf-o-daastaan the huzur ko kuchh to yaad hogaa agarche shauq-o-talab the be-saakhta ham-aaghoshiyon pe maail kai takalluf bhi darmiyaan the huzur ko kuchh to yaad hogaa latif shaamein tabiaton ke zamir se khuub aashnaa thiin hasin savere mizaaj-daan the huzur ko kuchh to yaad hogaa nazar ki had tak muhit thaa silsila mahakte hue gulon kaa gulon mein pariyon ke ghar nihaan the huzur ko kuchh to yaad hogaa ajiib saanche ki kashtiyaan bah rahi thiin lahron ke zer-o-bam par ajiib surat ke baadbaan the huzur ko kuchh to yaad hogaa uluhiyat aap is hasin ittifaaq par muskuraa rahi thi sanam khudaaon ke mehmaan the huzur ko kuchh to yaad hogaa jo vaaqiye the vo gunjte zamzamon ke maanind maujzan the jo khvaab the sarv-e-bostaan the huzur ko kuchh to yaad hogaa kahin kahin salsabil o kausar ki jot maujud thi zamin par kahin kahin arsh-o-aasmaan the huzur ko kuchh to yaad hogaa shab-e-mohabbat huzur ki kaakulon ke khulne ke silsile mein 'adam' ke israar kyaa javaan the huzur ko kuchh to yaad hogaa"
Abdul Hamid AdamAbdul Hamid Adam
Quote
"dil hai baDi khushi se ise paaemaal kar lekin tire nisaar zaraa dekh-bhaal kar itnaa to dil-fareb na thaa daam-e-zindagi le aae e'tibaar ke saanche mein Dhaal kar saaqi mire khulus ki shiddat ko dekhnaa phir aa gayaa huun gardish-e-dauraan ko Taal kar ai dost teri zulf-e-pareshaan ki khair ho meri tabaahiyon kaa na itnaa khayaal kar aayaa huun yuun bachaa ke havaadis se ziist ko laate hain jaise koh se chashma nikaal kar thoDe se faasle mein bhi haael hain laghzishein saaqi sambhaal kar mire saaqi sambhaal kar ham se 'adam' chhupaao to khud bhi na pi sako rakkhaa hai tum ne kuchh to suraahi mein Daal kar"
Abdul Hamid AdamAbdul Hamid Adam
Quote
"har pari-vash ko khudaa taslim kar letaa huun main kitnaa saudaai huun kyaa taslim kar letaa huun main mai chhuTi par gaahe gaahe ab bhi bahar-ehtiraam daavat-e-aab-o-havaa taslim kar letaa huun main be-vafaa main ne mohabbat se kahaa thaa aap ko lijiye ab baa-vafaa taslim kar letaa huun main jo andheraa teri zulfon ki tarah shaadaab ho us andhere ko ziyaa taslim kar letaa huun main jurm to koi nahin sarzad huaa mujh se huzur baavajud us ke sazaa taslim kar letaa huun main jab baghair us ke na hoti ho khalaasi ai 'adam' rahzanon ko rahnumaa taslim kar letaa huun main"
Abdul Hamid AdamAbdul Hamid Adam
Quote
"go tiri zulfon kaa zindaani huun main bhuul mat jaanaa ki sailaani huun main zindagi ki qaid koi qaid hai sukhte taalaab kaa paani huun main chaandni raaton mein yaaron ke baghair chaandni raaton ki viraani huun main jis qadar maujud huun mafqud huun jis qadar ghaaeb huun laafaani huun main mujh ko tanhaai mein sunnaa baiTh kar mutrib-e-lamhaat-e-vajdaani huun main jis qadar kartaa huun andesha 'adam' us qadar tasvir-e-hairaani huun main aql se kyaa kaam mujh naachiz kaa ek maamuli si naadaani huun main huun agar to huun bhi kyaa is ke sivaa qimti virse ki arzaani huun main dil ki dhaDkan baDhti jaati hai 'adam' kis hasin ke zer-e-nigraani huun main"
Abdul Hamid AdamAbdul Hamid Adam
Quote
"gham-e-mohabbat sataa rahaa hai gham-e-zamaana masal rahaa hai magar mire din guzar rahe hain magar miraa vaqt Tal rahaa hai vo abr aayaa vo rang barse vo kaif jaagaa vo jaam khanke chaman mein ye kaun aa gayaa hai tamaam mausam badal rahaa hai miri javaani ke garm lamhon pe Daal de gesuon kaa saaya ye dopahar kuchh to moatadil ho tamaam maahaul jal rahaa hai ye bhini bhini si mast khushbu ye halki halki si dil-nashin bu yahin kahin teri zulf ke paas koi parvaana jal rahaa hai na dekh o mah-jabin miri samt itni masti-bhari nazar se mujhe ye mahsus ho rahaa hai sharaab kaa daur chal rahaa hai 'adam' kharaabaat ki sahar hai ki baargaah-e-rumuz-e-hasti idhar bhi suraj nikal rahaa hai udhar bhi suraj nikal rahaa hai"
Abdul Hamid AdamAbdul Hamid Adam
Quote
"bhuli-bisri baaton se kyaa tashkil-e-rudaad karein ham ko to kuchh yaad nahin hai aap hi kuchh irshaad karein pahle-pahal jab aap kaa joban itnaa shahr-aashob na thaa ik mushtaaq se saada-dil insaan ki parastish yaad karein aap se mumkin hai dil-jui yazdaan ki ye riit nahin jis ko sun kar chup rahnaa hai us se kyaa fariyaad karein ishq ne saunpaa hai kaam apnaa ab to nibhaanaa hi hogaa main bhi kuchh koshish kartaa huun aap bhi kuchh imdaad karein juzv-e-tabiat ban jaaein to jaur karam ho jaate hain lutf na ab raaij farmaaein sirf sitam ijaad karein"
Abdul Hamid AdamAbdul Hamid Adam
Quote
"vo suraj itnaa nazdik aa rahaa hai miri hasti kaa saaya jaa rahaa hai khudaa kaa aasraa tum de gae the khudaa hi aaj tak kaam aa rahaa hai bikharnaa aur phir un gesuon kaa do-aalam par andheraa chhaa rahaa hai javaani aaina le kar khaDi hai bahaaron ko pasina aa rahaa hai kuchh aise aai hai baad-e-muaafiq kinaaraa duur haTtaa jaa rahaa hai gham-e-fardaa kaa istiqbaal karne khayaal-e-ahd-e-maazi aa rahaa hai vo itne be-muravvat to nahin the koi qasdan unhein bahkaa rahaa hai kuchh is paakizgi se ki hai tauba khayaalon par nasha saa chhaa rahaa hai zarurat hai ki baDhti jaa rahi hai zamaana hai ki ghaTtaa jaa rahaa hai hujum-e-tishnagi ki raushni mein zamir-e-mai-kada tharraa rahaa hai khudaa mahfuz rakkhe kashtiyon ko baDi shiddat kaa tufaan aa rahaa hai koi pichhle pahar dariyaa-kinaare sitaaron ki dhunon par gaa rahaa hai zaraa aavaaz denaa zindagi ko 'adam' irshaad kuchh farmaa rahaa hai"
Abdul Hamid AdamAbdul Hamid Adam