SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byAnwar Shuoor(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"yaad aa gayaa vo shakhs to yaad aae jaaegaa rulvaae jaaegaa hamein taDpaae jaaegaa taa'bir se kabhi to navaazegaa aasmaan kab tak hamaare khvaab-mahal Dhaae jaaegaa sar 'ishq ki muhim nahin hoti dimaagh se jo sochtaa rahegaa vo ghabraae jaaegaa itnaa bhi sabr-o-shukr kaa qaail nahin ki dil har kaifiyat mein aap ke gun gaae jaaegaa aataa hai rahm naaseh-e-mushfiq ke haal par be-chaara 'umr-bhar hamein samjhaae jaaegaa nazrein haTaa haTaa ke na kyon guftugu karein ham dekhe jaaeinge to vo sharmaae jaaegaa thoDi 'sha'ur' aur chaDhaa le to har taraf saaghar nachaae jaaegaa chhalkaae jaaegaa"
Anwar ShuoorAnwar Shuoor
Quote
"rahi raat un se mulaaqaat kam mudaaraat khaasi hui baat kam tiri yaad itnaa baDaa kaam hai ki maalum hote hain din raat kam kahin dil bahaltaa nahin shahr mein na baazaar kam hain na baaghaat kam mohabbat mein hoti hain insaan ko shikastein ziyaada futuhaat kam sambhaale hue hai ye shoba bhi dil ab aankhon se hoti hai barsaat kam dimaaghon ki parvaaz maalum hai savaalaat vaafir javaabaat kam bahut son se achchhaa huun phir bhi 'shuur' digar-gun nahin mere haalaat kam"
Anwar ShuoorAnwar Shuoor
Quote
"aise dekhaa hai ki dekhaa hi na ho jaise mujh ko tiri parvaa hi na ho baaz ghar shahr mein aise dekhe jaise un mein koi rahtaa hi na ho mujh se katraa ke bhalaa kyuun jaataa shaayad us ne mujhe dekhaa hi na ho ye samajhtaa hai har aane vaalaa main na aauun to tamaashaa hi na ho yuun bhaTakne pe huun qaane jaise raaston mein koi dariyaa hi na ho raat har chaap pe aataa thaa khayaal uTh ke dekhun koi aayaa hi na ho kaise chhoDun dar-o-divaar apne kyaa khabar lauT ke aanaa hi na ho hain sabhi ghair to apnaa maskan shahr kyuun ho koi sahraa hi na ho yuun to kahne ko bahut kuchh hai 'shuur' kyaa kahun jab koi suntaa hi na ho"
Anwar ShuoorAnwar Shuoor
Quote
"ittifaaq apni jagah khush-qismati apni jagah khud banaataa hai jahaan mein aadmi apni jagah kah to saktaa huun magar majbur kar saktaa nahin ikhtiyaar apni jagah hai bebasi apni jagah kuchh na kuchh sachchaai hoti hai nihaan har baat mein kahne vaale Thiik kahte hain sabhi apni jagah sirf us ke honT kaaghaz par banaa detaa huun main khud banaa leti hai honTon par hansi apni jagah dost kahtaa huun tumhein shaaer nahin kahtaa 'shuur' dosti apni jagah hai shaaeri apni jagah"
Anwar ShuoorAnwar Shuoor
Quote
"divaar jaane dijiye dar jaane dijiye dasht-o-daman basaaiye ghar jaane dijiye har phuul dekhne ke liye hai bahaar kaa jis jis pe jaa rahi hai nazar jaane dijiye taufiq jis 'amal ki nahin paarsaaon ko vo is gunaahgaar ko kar jaane dijiye hogaa ye raah-e-sidq-o-safaa mein baDaa qadam sar jaa rahaa hai aaj to sar jaane dijiye bohtaat khair ki bhi buri shar ki bhi buri is baat mein hai khair ki shar jaane dijiye phir munh hatheliyon mein chhupaa lijiyegaa aap aankhon mein aur dil mein utar jaane dijiye fursat qalil aur kahaani tavil hai baatein to hain hazaar magar jaane dijiye mat rokiye jihaad se 'anvar-sha'ur' ko marnaa hi chaahtaa hai to mar jaane dijiye"
Anwar ShuoorAnwar Shuoor
Quote
"un ki surat hamein aai thi pasand aankhon se aur phir ho gai baalaa-o-buland aankhon se koi zanjir nahin taar-e-nazar se mazbut ham ne is chaand pe Daali hai kamand aankhon se Thahr sakti hai kahaan us rukh-e-taabaan pe nazar dekh saktaa hai use aadmi band aankhon se ham uThaate hain maza talkhi o shirini kaa mai piyaale se pilaataa hai vo qand aankhon se baat karte ho to hotaa hai zabaan se sadma dekhte ho to pahunchtaa hai gazand aankhon se har mulaaqaat mein hoti hain hamaare maabain chand baatein lab-e-guftaar se chand aankhon se ishq mein hausla-mandi bhi zaruri hai 'shuur' dekhiye us ki taraf hausla-mand aankhon se"
Anwar ShuoorAnwar Shuoor
Quote
"kuchh dinon apne ghar rahaa huun main aur phir dar-ba-dar rahaa huun main dusron ki khabar to kyaa letaa khud se bhi be-khabar rahaa huun main vaqt go ham-safar na thaa meraa vaqt kaa ham-safar rahaa huun main zina-e-zaat kaa safar aur raat dhire dhire utar rahaa huun main yak-ba-yak kis tarah badal jaaun rafta rafta sudhar rahaa huun main tu bhi dekhe to ajnabi jaane ab ke vo svaang bhar rahaa huun main be-haqiqat hai shor-e-shahr ki ab gungunaataa guzar rahaa huun main aag hai aur sulag rahi hai hayaat raakh huun aur bikhar rahaa huun main"
Anwar ShuoorAnwar Shuoor
Quote
"dhoka karein fareb karein yaa daghaa karein ham kaash dusron pe na tohmat dharaa karein rakkhaa karein har ek khataa apne dosh par har jurm apni fard-e-‘amal mein likhaa karein ahbaab agar tamaam nahin laaiq-e-vafaa ek aadh baa-vafaa se to vaa'da vafaa karein ruThaa karein zarur magar is tarah nahin apni kahaa karein na kisi ki sunaa karein chhapvaa diyaa karein kisi akhbaar mein kalaam lekin mushaa'iron mein na shirkat kiyaa karein e'laan-e-tark-e-baada-gusaari ke baavajud piinaa hi laazmi ho to chhup kar piyaa karein ghar mein hazaar adaaein dikhaayaa karein 'shu'ur' duniyaa ke saamne na tamaasha banaa karein"
Anwar ShuoorAnwar Shuoor
Quote
"mujhe ye justuju kyuun ho ki kyaa huun aur kiyaa thaa main koi apne sivaa huun main koi apne sivaa thaa main na jaane kaun saa aatish-fishaan thaa mere siine mein ki khaali thaa bahut phir bhi dhamak kar phaT paDaa thaa main to kyaa main ne nashe mein vaaqai ye guftugu ki thi mujhe khud bhi nahin maalum thaa jo sochtaa thaa main khud apne khol mein ghuT kar na rah jaataa to kyaa kartaa yahaan ik bhiiD thi jis bhiiD mein gum ho gayaa thaa main na luTnaa meri qismat hi mein thaa likkhaa huaa varna andheri raat thi aur biich raste mein khaDaa thaa main guzarne ko to mujh par bhi ajab ik haadisa guzraa magar us vaqt jab sadmon kaa aadi ho chukaa thaa main main kahtaa thaa suno sachchaai to khud hai sila apnaa ye nukta iktisaabi thaa magar sach boltaa thaa main tujhe to dusron se bhi ulajhne mein takalluf thaa mujhe to dekh apne-aap se uljhaa huaa thaa main khulus o iltifaat o mehr jo hai ab usi se hai jise pahle na jaane kis nazar se dekhtaa thaa main jo ab yuun mere girdaa-gird hain kuchh roz pahle tak unhi logon ke haq mein kis qadar sabr-aazmaa thaa main bahut khush-khulq thaa main bhi magar ye baat jab ki hai na auron hi se vaaqif thaa na khud ko jaantaa thaa main"
Anwar ShuoorAnwar Shuoor
Quote
"puuri sazaa-e-zindagi karne ke baa'd hi ab ham rihaai paaeinge marne ke baa'd hi aaraam se raho ki taDapte raho miyaan aati hai subh raat guzarne ke baa'd hi miTTi mein hasraton ki laDi mil gai magar kuchh daane chun liye the bikharne ke baa'd hi dozakh kaa zikr maulvi saahab kaa farz hai aate hain log raah pe Darne ke baa'd hi maanaa ki sair ho ke gae hain janaab-e-shaikh aa jaaeinge khumaar utarne ke baa'd hi bardaasht aur sabr se 'aari ho tum 'sha'ur' saaraa piyaala pi gae bharne ke baa'd hi"
Anwar ShuoorAnwar Shuoor
Quote
"balaa se garebaan hai yaa nahin uTho jism mein jaan hai yaa nahin mohabbat mein aakhir ye kyaa sochnaa vo kaafir musalmaan hai yaa nahin kahaan dil pe koi asar vaqt kaa musalsal pareshaan hai yaa nahin bujhaane lage battiyaan mughbache kisi ko koi dhyaan hai yaa nahin ye maanaa ki duniyaa mein har chiiz hai masarrat kaa saamaan hai yaa nahin mashaqqat bhi dushvaar aaraam bhi koi kaam aasaan hai yaa nahin abhi tum ne dekhaa hi kyaa hai 'sha'ur' magar 'aql hairaan hai yaa nahin"
Anwar ShuoorAnwar Shuoor
Quote
"aasaaniyon ki raah khuli mushkilon ke baa'd ghar lauTnaa nasib huaa gardishon ke baa'd aise hi naa-umid nahin ho gae hain ham aayaa hai ye maqaam bahut koshishon ke baa'd jaate nahin ham ab haram-o-dair ki taraf is raaste pe aae hain gumraahiyon ke baa'd fauran qubuliyat kaa sharaf bakhshte nahin vo baat maante hain baDi minnaton ke baa'd sargoshiyaan sunaai na dein kyon bhalaa hamein suunaa huaa hai dil kaa makaan raunaqon ke baa'd rahtaa hai 'umr bhar vo tumhaari tarah 'sha'ur' jo aadmi sanbhal na sake Thokaron ke baa'd"
Anwar ShuoorAnwar Shuoor