Quote
"vaa-e-naadaani ye hasrat thi ki hotaa dar khulaa ham qafas raaz-e-asiri kyaa kahein kyunkar khulaa fursat-e-ranj-e-asiri di na un dhaDkon ne haae ab chhuri sayyaad ne li ab qafas kaa dar khulaa allaah allaah ik duaa-e-marg ke do do asar vaan khulaa baab-e-ijaabat yaan qafas kaa dar khulaa uf is aazaadi-e-be-hangaam ki majburiyaan main qafas ke paas yuun baiThaa hi rahtaa par khulaa ujlat-e-parvaaz jab milne bhi de raah-e-gurez yuun to khulne ko qafas kaa dar khulaa aksar khulaa band hai baab-e-qafas ho sar to paTke jaaiye ham ne dekhaa hai qafas ki tiliyon mein dar khulaa kam to kyaa sayyaad be-taabi sivaa ho jaaegi tu ne naahaq tiliyon mein rakh diyaa khanjar khulaa aasmaan garam-e-talaafi chaahiye kaisaa qafas bijliyon ke ik ishaare mein qafas kaa dar khulaa likh chuke ham jaa chukaa khat gar yahi haalat rahi haath mein aayaa qalam aur shauq kaa daftar khulaa dil mein zakhm ashkon mein khuun surat ba-bin-aalam-mapras vo nigah uf vo mizha naavak chhupaa nashtar khulaa dam-ba-khud sakte kaa aalam murdani chhaai hui rang meri zindagi kaa meri mayyat par khulaa dil mein teraa dhyaan ik muddat rahaa begaana-vaar khulte hi khulte khulaa aur kyaa hi sharmaa kar khulaa dekhiye kyaa gul khilaati hai bahaar ab ke baras khvaab mein 'faani' ne dekhaa hai qafas kaa dar khulaa"







