SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"mujh ko ye jaan-o-dil qubul naghme ko naghma hi samajh saaz ye bitti hai kyaa ye bhi kabhi kabhi samajh ishq hai tishnagi kaa naam toD de gar mile bhi jaam shiddat-e-tishnagi na dekh lazzat-e-tishnagi samajh husn ki mehrbaaniyaan ishq ke haq mein zahr hain husn ke ijtinaab tak ishq ki zindagi samajh tark-e-taalluqaat bhi ain-e-taalluqaat hai aag bujhi hui na jaan aag dabi hui samajh aql ke kaarobaar mein dil ko bhi rakh sharik-e-kaar dil ke muaamalaat mein aql ko ajnabi samajh ghuncha-o-gul ke saath saath dil ki taraf bhi ik nazar shefta-e-shaguftagi vajh-e-shaguftagi samajh aise bhi raaz hain 'khumaar' hote nahin jo aashkaar apni hi mushkilein na dekh un ki bhi bebasi samajh"
Khumar BarabankaviKhumar Barabankavi
Quote
"kabhi sher-o-naghma ban ke kabhi aansuon mein Dhal ke vo mujhe mile to lekin mile suratein badal ke ye vafaa ki sakht raahein ye tumhaare paa-e-naazuk na lo intiqaam mujh se mire saath saath chal ke vahi aankh be-bahaa hai jo gham-e-jahaan mein Duube vahi jaam jaam-e-jam hai jo baghair farq chhalke na to hosh se taaaruf na junun se aashnaai ye kahaan pahunch gae ham tiri bazm se nikal ke ye charaagh-e-anjuman to hain bas ek shab ke mehmaan tu jalaa vo shama ai dil jo bujhe kabhi na jal ke koi ai 'khumaar' un ko mire sher nazr kar de jo mukhaalifin mukhlis nahin mo'tarif ghazal ke"
Khumar BarabankaviKhumar Barabankavi
Quote
"kyaa huaa husn hai ham-safar yaa nahin ishq manzil hi manzil hai rasta nahin do parinde uDe aankh nam ho gai aaj samjhaa ki main tujh ko bhulaa nahin tark-e-mai ko abhi din hi kitne hue kuchh kahaa mai ko zaahid to achchhaa nahin har nazar meri ban jaati zanjir-e-paa us ne jaate hue muD ke dekhaa nahin chhoD bhi de miraa saath ai zindagi mujh ko tujh se nadaamat hai shikva nahin tu ne tauba to kar li magar ai 'khumaar' tujh ko rahmat pe shaayad bharosa nahin"
Khumar BarabankaviKhumar Barabankavi
Quote
"ham unhein vo hamein bhulaa baiThe do gunahgaar zahr khaa baiThe haal-e-gham kah ke gham baDhaa baiThe tiir maare the tiir khaa baiThe aandhiyo jaao ab karo aaraam ham khud apnaa diyaa bujhaa baiThe ji to halkaa huaa magar yaaro ro ke ham lutf-e-gham ganvaa baiThe be-sahaaron kaa hausla hi kyaa ghar mein ghabraae dar pe aa baiThe jab se bichhDe vo muskuraae na ham sab ne chheDaa to lab hilaa baiThe ham rahe mubtalaa-e-dair-o-haram vo dabe paanv dil mein aa baiThe uTh ke ik bevafaa ne de di jaan rah gae saare baa-vafaa baiThe hashr kaa din abhi hai duur 'khumaar' aap kyuun zaahidon mein jaa baiThe"
Khumar BarabankaviKhumar Barabankavi
Quote
"pi pi ke jagmagaae zamaane guzar gae raaton ko din banaae zamaane guzar gae jaan-e-bahaar phuul nahin aadmi huun main aa jaa ki muskuraae zamaane guzar gae kyaa laaiq-e-sitam bhi nahin ab main dosto patthar bhi ghar mein aae zamaane guzar gae o jaane vaale aa ki tire intizaar mein raste ko ghar banaae zamaane guzar gae gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas sab se najaat paae zamaane guzar gae marne se vo Darein jo ba-qaid-e-hayaat hain mujh ko to maut aae zamaane guzar gae kyaa kyaa tavaqquaat thiin aahon se ai 'khumaar' ye tiir bhi chalaae zamaane guzar gae"
Khumar BarabankaviKhumar Barabankavi
Quote
"ye misraa nahin hai vazifa miraa hai khudaa hai mohabbat mohabbat khudaa hai kahun kis tarah main ki vo bevafaa hai mujhe us ki majburiyon kaa pataa hai havaa ko bahut sar-kashi kaa nasha hai magar ye na bhule diyaa bhi diyaa hai main us se judaa huun vo mujh se judaa hai mohabbat ke maaron pe fazl-e-khudaa hai nazar mein hai jalte makaanon kaa manzar chamakte hain jugnu to dil kaanptaa hai unhein bhulnaa yaa unhein yaad karnaa vo bichhDe hain jab se yahi mashghala hai guzartaa hai har shakhs chehra chhupaae koi raah mein aaina rakh gayaa hai baDi jaan levaa hain maazi ki yaadein bhulaane ko ji bhi nahin chaahtaa hai kahaan tu 'khumaar' aur kahaan kufr tauba tujhe paarsaaon ne bahkaa diyaa hai"
Khumar BarabankaviKhumar Barabankavi
Quote
"husn jab mehrbaan ho to kyaa kijiye ishq ke maghfirat ki duaa kijiye is saliqe se un se gila kijiye jab gila kijiye hans diyaa kijiye dusron par agar tabsira kijiye saamne aaina rakh liyaa kijiye aap sukh se hain tark-e-taalluq ke baad itni jaldi na ye faisla kijiye zindagi kaT rahi hai baDe chain se aur gham hon to vo bhi ataa kijiye koi dhokaa na khaa jaae meri tarah aise khul ke na sab se milaa kijiye aql o dil apni apni kahein jab 'khumaar' aql ki suniye dil kaa kahaa kijiye"
Khumar BarabankaviKhumar Barabankavi
Quote
"mujh ko shikast-e-dil kaa mazaa yaad aa gayaa tum kyuun udaas ho gae kyaa yaad aa gayaa kahne ko zindagi thi bahut mukhtasar magar kuchh yuun basar hui ki khudaa yaad aa gayaa vaaiz salaam le ki chalaa mai-kade ko main firdaus-e-gum-shuda kaa pataa yaad aa gayaa barse baghair hi jo ghaTaa ghir ke khul gai ik bevafaa kaa ahd-e-vafaa yaad aa gayaa maangeinge ab duaa ki use bhuul jaaein ham lekin jo vo ba-vaqt-e-duaa yaad aa gayaa hairat hai tum ko dekh ke masjid mein ai 'khumaar' kyaa baat ho gai jo khudaa yaad aa gayaa"
Khumar BarabankaviKhumar Barabankavi
Quote
"na haaraa hai ishq aur na duniyaa thaki hai diyaa jal rahaa hai havaa chal rahi hai sukun hi sukun hai khushi hi khushi hai tiraa gham salaamat mujhe kyaa kami hai khaTak gudgudi kaa mazaa de rahi hai jise ishq kahte hain shaayad yahi hai vo maujud hain aur un ki kami hai mohabbat bhi tanhaai-e-daaimi hai charaaghon ke badle makaan jal rahe hain nayaa hai zamaana nai raushni hai are o jafaaon pe chup rahne vaalo khamoshi jafaaon ki taaid bhi hai mire raahbar mujh ko gumraah kar de sunaa hai ki manzil qarib aa gai hai 'khumaar'-e-balaa-nosh tu aur tauba tujhe zaahidon ki nazar lag gai hai"
Khumar BarabankaviKhumar Barabankavi
Quote
"vahi phir mujhe yaad aane lage hain jinhein bhulne mein zamaane lage hain vo hain paas aur yaad aane lage hain mohabbat ke hosh ab Thikaane lage hain sunaa hai hamein vo bhulaane lage hain to kyaa ham unhein yaad aane lage hain haTaae the jo raah se doston ki vo patthar mire ghar mein aane lage hain ye kahnaa thaa un se mohabbat hai mujh ko ye kahne mein mujh ko zamaane lage hain havaaein chalin aur na maujein hi uTThin ab aise bhi tufaan aane lage hain qayaamat yaqinan qarib aa gai hai 'khumaar' ab to masjid mein jaane lage hain"
Khumar BarabankaviKhumar Barabankavi
Quote
"ik pal mein ik sadi kaa mazaa ham se puchhiye do din ki zindagi kaa mazaa ham se puchhiye bhule hain rafta rafta unhein muddaton mein ham qiston mein khud-kushi kaa mazaa ham se puchhiye aaghaaz-e-aashiqi kaa mazaa aap jaaniye anjaam-e-aashiqi kaa mazaa ham se puchhiye jalte diyon mein jalte gharon jaisi zau kahaan sarkaar raushni kaa mazaa ham se puchhiye vo jaan hi gae ki hamein un se pyaar hai aankhon ki mukhbiri kaa mazaa ham se puchhiye hansne kaa shauq ham ko bhi thaa aap ki tarah hansiye magar hansi kaa mazaa ham se puchhiye ham tauba kar ke mar gae be-maut ai 'khumaar' tauhin-e-mai-kashi kaa mazaa ham se puchhiye"
Khumar BarabankaviKhumar Barabankavi
Quote
"jab vo pashemaan nazar aae hain maut ke saamaan nazar aae hain ho na ho ab aa gai manzil qarib raaste sunsaan nazar aae hain 'ishq mein sahme hue do aashnaa muddaton anjaan nazar aae hain ki hai jo fikr apne garebaan ki laakh garebaan nazar aae hain khaa na sake zindagi bhar jo fareb aise bhi naadaan nazar aae hain hosh jab aaya tire jaane ke baa'd ghar mein bayaabaan nazar aae hain 'ishq mein kuchh ham hi pareshaan nahin vo bhi pareshaan nazar aae hain haae re vo madh-bhari aankhein 'khumaar' mai-kade viraan nazar aae hain"
Khumar BarabankaviKhumar Barabankavi
Quote
"vo sivaa yaad aae bhulaane ke baad zindagi baDh gai zahr khaane ke baad dil sulagtaa rahaa aashiyaane ke baad aag ThanDi hui ik zamaane ke baad raushni ke liye dil jalaanaa paDaa aisi zulmat baDhi tere jaane ke baad jab na kuchh ban paDaa arz-e-gham kaa javaab vo khafaa ho gae muskuraane ke baad dushmanon se pashemaan honaa paDaa doston kaa khulus aazmaane ke baad ranj had se guzar ke khushi ban gayaa ho gae paar ham Duub jaane ke baad bakhsh de yaa rab ahl-e-havas ko bahisht mujh ko kyaa chaahiye tujh ko paane ke baad kaise kaise gile yaad aae 'khumaar' un ke aane se qabl un ke jaane ke baad"
Khumar BarabankaviKhumar Barabankavi
Quote
"ai maut unhein bhulaae zamaane guzar gae aa jaa ki zahr khaae zamaane guzar gae o jaane vaale aa ki tire intizaar mein raste ko ghar banaae zamaane guzar gae gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas sab se najaat paae zamaane guzar gae kyaa laaiq-e-sitam bhi nahin ab main dosto patthar bhi ghar mein aae zamaane guzar gae jaan-e-bahaar phuul nahin aadmi huun main aa jaa ki muskuraae zamaane guzar gae kyaa kyaa tavaqquaat thiin aahon se ai 'khumaar' ye tiir bhi chalaae zamaane guzar gae"
Khumar BarabankaviKhumar Barabankavi
Quote
"tu chaahiye na teri vafaa chaahiye mujhe kuchh bhi na tere gham ke sivaa chaahiye mujhe marne se pahle shakl hi ik baar dekh luun ai maut zindagi kaa pataa chaahiye mujhe yaa rab muaaf kar ke na de karb-e-infiaal main ne khataaein ki hain sazaa chaahiye mujhe khaamoshi-e-hayaat se uktaa gayaa huun main ab chaahe dil hi TuuTe sadaa chaahiye mujhe un mast mast aankhon mein aansu are ghazab ye ishq hai to qahr-e-khudaa chaahiye mujhe naaseh nasihaton kaa zamaana guzar gayaa ab pyaare sirf teri duaa chaahiye mujhe har dard ko davaa ki zarurat hai ai 'khumaar' jo dard khud ho apni davaa chaahiye mujhe"
Khumar BarabankaviKhumar Barabankavi
Quote
"bujh gayaa dil hayaat baaqi hai chhup gayaa chaand raat baaqi hai haal-e-dil un se kah chuke sau baar ab bhi kahne ki baat baaqi hai ai khushaa khatam-e-ijtinaab magar mahshar-e-iltifaat baaqi hai ishq mein ham samajh chuke sab se ek zaalim hayaat baaqi hai naasehaan-e-karaam ke dam se shorish-e-kaaenaat baaqi hai raat baaqi thi jab vo bichhDe the kaT gai umr raat baaqi hai rahmat-e-be-panaah ke sadqe e'timaad-e-najaat baaqi hai na vo dil hai na vo shabaab 'khumaar' kis liye ab hayaat baaqi hai"
Khumar BarabankaviKhumar Barabankavi
Quote
"aankhon ke charaaghon mein ujaale na raheinge aa jaao ki phir dekhne vaale na raheinge jaa shauq se lekin palaT aane ke liye jaa ham der talak khud ko sambhaale na raheinge ai zauq-e-safar khair ho nazdik hai manzil sab kahte hain ab paanv mein chhaale na raheinge jin naalon ki ho jaaegi taa-dost rasaai vo saanehe ban jaaeinge naale na raheinge main tauba to kar luun magar ik baat hai vaaiz kyaa aaj se gardish mein piyaale na raheinge kyon zulmat-e-gham se ho 'khumaar' itne pareshaan baadal ye hamesha hi to kaale na raheinge"
Khumar BarabankaviKhumar Barabankavi