SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byNatiq Gulavthi(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"jiine degaa bhi hamein ai dil jiein bhi yaa na ham kyaa kahein ab tujh ko ham tujh ko kahein ab kyaa na ham uTh gae ham darmiyaan se uTh gayaa ham se hijaab rah gae ham us ke ho kar rah gayaa pardaa, na ham daulat-e-dil kyaa hai jaa kar ahl-e-dil se puchhiye maal thaa apnaa bhi kuchh jaane magar rakhnaa na ham ranj-e-rusvaai nahin duniyaa hai rusvaai kaa ghar hain sabhi rusvaa to yuun samjho na tum rusvaa na ham faaeda kyaa rahti duniyaa tak agar koi rahaa ye to zaahir hai ki rahne ke liye duniyaa na ham khaa gai ahl-e-havas ki vaza ahl-e-ishq ko baat kis ki rah gai koi adu sachchaa na ham khud-faraamoshi ne rakkhaa hai giraftaar-e-khudi chhuTte kyuun chhoDte daaman agar apnaa na ham is se kuchh hoti agar 'naatiq' hamein taskin-e-taba aaj tak sab jama kar lete kalaam apnaa na ham"
N
Natiq Gulavthi
Quote
"kyuun khayaal-e-ranj-o-raahat se na hon begaana ham jalva-gaah-e-yaar hai dil yaa'ni khalvat-khaana ham hain kabhi vaa'iz kabhi hain murshid-e-mai-khaana ham ghumte jaate hain hasb-e-gardish-e-paimaana ham laakh par bhaari hain teri dast-giri chaahiye kyuun kisi pe baar hon ai himmat-e-mardaana ham khaaiye ye zahr kab tak khaae jaati hai ye ziist ai ajal kab tak raheinge rahn-e-aab-o-daana ham tu hamein kahtaa hai divaana to divaane sahi pand-go aakhir tujhe ab kyaa kahein divaana ham muddai dil 'ishq aain-o-adaalat bazm-e-naaz did-baazi jurm mujrim aankh hai jurmaana ham aab-e-ashk-o-aatish-e-shauq-o-havaa-e-aah se hain vajud-aaraai-e-khaakistar-e-parvaana ham gum hai naam-e-aamiri khuub ai nigaah-e-saamri tere afsun se bane hain zinat-e-afsaana ham vajh-e-rusvaai hai 'naatiq' masti-e-bazm-e-sukhan baada-paimaa hain ba-jaam-e-ghaalib-e-mastaana ham"
N
Natiq Gulavthi
Quote
"baada-masti aa karaamat ho ke maikhaane mein aa chal pari shishe se uD kar mere paimaane mein aa dusraa aisaa kahaan ai dasht khalvat kaa maqaam apni viraani ko le kar mere viraane mein aa vahshat-e-dil ki nahin tadbir juz afsurdagi tangi-e-zindaan kisi pahlu se divaane mein aa kar murattab kuchh nae andaaz se apnaa bayaan marne vaale zindagi chaahe to afsaane mein aa chal nikal jaaein idhar se apni duniyaa ki taraf haan tu ai taar-e-nafas tasbih ke daane mein aa pel zor aape se baahar ho ke jaaegaa kahaan aadmi ban aadmi aa apne paimaane mein aa daaman-e-faanus mein ai shama khud-daari nahin kisvat-e-naamus agar chaahe to parvaane mein aa khatm karnaa chaahtaa huun pech-o-taab-e-zindagi yaad-e-gesu zor-e-baazu ban mire shaane mein aa ho chali hai rasm-e-ahl-e-kaaba 'naatiq' ab to aam barhaman bhi mujh se kahtaa hai ki but-khaane mein aa"
N
Natiq Gulavthi
Quote
"khirad-aamoz hasti hai magar ab kyaa kahun vo bhi ki ban jaati hai divaanon ki duniyaa mein junun vo bhi savaal ik be-muravvat se talab aisi ki kyaa kahiye ham apni zindagi se maangte hain aur sukun vo bhi buton ke saath li di si jo yaad-allaah baaqi hai to kyaa shaikh-e-haram tere liye main chhoD duun vo bhi riyaa-kaari ke sajde shaikh le baiTheinge masjid ko kisi din dekhnaa ho kar rahegi sar-nigun vo bhi dharaa kyaa hai jo ham se yaad-e-maazi le ke jaaegi jab aa jaati hai to do ghunT pi leti hai khuun vo bhi gae sab valvale saari umidein ho gaiin rukhsat bachi hai zindagi baaqi to ab main kyaa karun vo bhi niraali baat duniyaa-e-dani mein kaun si hoti yahaan to didani hai aur miraa haal-e-zabun vo bhi musibat zindagi ki kis ke ghar ab sar chhupaaegi ajal itni ijaazat de ki main letaa chalun vo bhi mohabbat ho to ho bhi jaae sar-bar chashm-e-pur-fan se abhi se kyaa kahun 'naatiq' fusun ye bhi fusun vo bhi"
N
Natiq Gulavthi
Quote
"aa gai dil ki lagi baDh ke rag-e-jaan ke qarib qaafila shauq kaa hai manzil-e-armaan ke qarib aadamiyyat nahin phaTki tire darbaan ke qarib varna aataa to hai insaan hi insaan ke qarib vaz-e-paabandi o aazaadi-e-hasti tauba yaani zindaan se kahin duur na zindaan ke qarib jurat-e-afzaa-e-savaal ai zahe andaaz-e-javaab aati jaati hai ab us but ki nahin haan ke qarib hai to kuchh hashr ki aamad kaa hamein bhi khaTkaa is ke aasaar to hain ganj-e-shahidaan ke qarib mujh ko maalum huaa ab ki zamaana tum ho mil gai raah-e-sukun gardish-e-dauraan ke qarib gham-o-andoh kaa lashkar bhi chalaa aataa hai ek ghoD-dauD si hai umr-e-gurezaan ke qarib girya-e-gham ko hai palkon kaa ishaara darkaar ek umDaa huaa tufaan hai mizhgaan ke qarib jaan kis kis ko sambhaale ki sab ajzaa-e-vajud hain pareshaani-e-khaatir se pareshaan ke qarib paanv daaman se ulajhte hain khudaa khair kare haath rahte hain kai din se garebaan ke qarib bhuul jaa khud ko ki hai maarifat-e-nafs yahi koi rahtaa hi nahin sarhad-e-irfaan ke qarib kasrat-e-khaar rah-e-shauq ilaahi tauba kahin pahunche to nahin rauza-e-rizvaan ke qarib marhabaa bandagi-aamoz tasavvur teraa jis ke ehsaan se pahunchaa huun main ehsaan ke qarib tuur ki chheD hui hosh-rubaa varna kalim koi pahunchaa bhi to thaa shoala-e-uryaan ke qarib qadr-afzaai-e-maahaul-e-vatan kyaa kahnaa daam yusuf ke bahut aa gae kanaan ke qarib ab to 'naatiq' kaa bas itnaa hi pataa chaltaa hai hai kahin ghar se bahut duur bayaabaan ke qarib"
N
Natiq Gulavthi
Quote
"junun talaash mein hai paa na le bahaar mujhe nadim! ab na mire naam se pukaar mujhe surur-e-baada-e-naa-khurda raqs-e-bazm-e-hayaat bahut pasand hai aain-e-intizaar mujhe phir aaj ham-safar-e-zindagi kahaan huun main ye kaun raah bhulaataa hai baar baar mujhe zamaana-saazi-e-ahbaab abhi nahin samjhaa samajh rahaa huun zamaana hai saazgaar mujhe suqut-e-nabz khabar hai sukun-e-khaatir ki ab aa chalaa hai ab aa jaaegaa qaraar mujhe go dosti na sahi dushmani nibaah to di milaa nasib se dushman vafaa-shiaar mujhe adam kaa zinda namuna huun main yahaan 'naatiq' vajud maang ke laayaa hai mustaaar mujhe"
N
Natiq Gulavthi
Quote
"bhar paae jaan-e-zaar tiri dosti se ham jiite rahe to ab na mileinge kisi se ham hain qaafile ke saath magar hai ravish judaa milte hain sab se aur nahin milte kisi se ham zikr-e-sharaab-e-naab pe vaaiz ukhaD gayaa bole the achchhi baat bhale aadmi se ham paaband-e-dair ho ke bhi bhule nahin hain ghar masjid mein jaa nikalte hain chori chhupi se ham duniyaa badal gai hai badal se gae hain kuchh apni khushi badal ke tumhaari khushi se ham jaate kahaan milaa na phir apnaa pataa kahin pahunche to the bhaTak gae un ki gali se ham 'naatiq' hami ko dil ne to kaafir banaa diyaa ab kyaa kahein ki haar gae bidati se ham"
N
Natiq Gulavthi
Quote
"vo mizaaj puchh lete hain salaam kar ke dekho jo kalaam ho kuchh is mein to kalaam kar ke dekho kai rind-shaikh aise bhi hain dukht-e-raz pe shaidaa jo halaal kar ke rakh deinge haraam kar ke dekho tum isi liye bane ho ki banaao baatein vaa'iz kisi kaam ke agar ho to vo kaam kar ke dekho ye hamein bhi dekhnaa hai tumhein kyaa kahegi duniyaa jo karam hai khaas ham par use 'aam kar ke dekho jo nasib aazmaanaa hai to raat kaisi din kyaa kahin subh kar ke dekho kahin shaam kar ke dekho gham-e-zist ko na dekho ki fareb-e-zindagi hai ye masarraton ke armaan to tamaam kar ke dekho koi jins-e-dil kaa shaayad tumhein mil bhi jaae gaahak kahin le ke jaao 'naatiq' kabhi daam kar ke dekho"
N
Natiq Gulavthi
Quote
"aalam-e-kaun-o-makaan naam hai viraane kaa paas vahshat nahin ghar duur hai divaane kaa zahr vaaiz ke liye naam hai paimaane kaa ye bhi kyaa mard-e-khudaa chor hai mai-khaane kaa kabhi fursat ho musibat se to uTh kar dekhun kaun se goshe mein aaraam hai kaashaane kaa be-khud-e-shauq huun aataa hai khudaa yaad mujhe raasta bhuul ke baiThaa huun sanam-khaane kaa dil ki jaulaan-gah-e-vahshat hai abad se mausum naam azal hai mire bhule hue afsaane kaa dil jo apnaa bhi hai 'naatiq' to ye apnaa nahin kuchh hai jo apnaa bhi to hogaa kisi begaane kaa"
N
Natiq Gulavthi
Quote
"jo sunte hain to main mamnun huun un ki inaayat kaa kahun kyaa ab ki mauqaa hi nahin baaqi shikaayat kaa nayaa mazmun kyaa hotaa vo khat mein aur kyaa likhte vahi aayaa hai jo likkhaa huaa thaa apni qismat kaa hamein to aap ki bebaakiyon se Dar hi rahtaa hai nahin maalum kis din vaqt aa jaae nadaamat kaa nazar aataa nahin ab ghar mein vo bhi uf re tanhaai ik aaine mein pahle aadmi thaa meri surat kaa thake ahbaab aakhir har tarah 'naatiq' ko samjhaa kar asar minnat samaajat kaa na kuchh laanat malaamat kaa"
N
Natiq Gulavthi
Quote
"aayaa to dil-e-vahshi dar-band-e-niyaaz aayaa bargashta muqaddar thaa sar-gashta-e-naaz aayaa ik harf-e-shikaayat par kyuun ruuTh ke jaate ho jaane do gae shikve aa jaao main baaz aayaa nau-vaarid-e-hasti uTh kis vahm mein baiThaa hai hoti hai azaan sun le chal vaqt-e-namaaz aayaa bardashta-khaatir thaa ishrat ki haqiqat se main daam-e-musibat mein aasuda-e-raaz aayaa raahat-gah-e-turbat se tu ne to bahut rokaa marmar ke magar main bhi ai umr-e-daraaz aayaa bhulaa huaa phirtaa hai dil apni haqiqat ko le ai gham-e-hasti le ik mahv-e-majaaz aayaa kal hayyaa-alaa ki si aavaaz ik aai thi 'naatiq' ne kahaa sun kar haan banda-navaaz aayaa"
N
Natiq Gulavthi
Quote
"kabhi soz-e-dil kaa gila kiyaa kabhi lab se shor-e-fughaan uThaa koi ahl-e-zabt bhalaa buto use kyaa kare jo dhuaan uThaa ye khudaa ki shaan to dekhiye ki khudaa kaa naam hi rah gayaa mujhe taaza yaad-e-butaan hui jo haram se shor-e-azaan uThaa mire sabr ne bhi ghazab kiyaa ki adu ki jaan pe ban gai ye kahaan ki choT kahaan lagi ye kahaan kaa dard kahaan uThaa jo kabhi lagi ki khabar suni to ghazab ki choT yahaan lagi mujhe soz-e-dil kaa gumaan huaa jo kisi ke ghar se dhuaan uThaa na huaa ilaaj-e-gham-e-khudi kisi barahman se na shaikh se mujhe is balaa se bachaane ko jo uThaa to pir-e-mughaan uThaa ye jahaan daam-e-fareb hai jo chale to dekh ke chal zaraa jo tujhe khayaal ho diid kaa to samajh ke aankh yahaan uThaa tiri raah-e-shauq mein zoaf se kahun haal-e-'naatiq'-e-zaar kyaa ye vahin uThaa hai jahaan giraa ye vahin giraa hai jahaan uThaa"
N
Natiq Gulavthi
Quote
"gham judaa pesh rahaa hai mire afkaar judaa dil pe ye maar judaa rahti hai vo maar judaa ho gai band jo bimaar-e-mohabbat ki zabaan chaara-gar chup hain judaa munis-o-gham-khvaar judaa dil bhi kyaa jins hai manhus vo farmaate hain bechne vaale judaa rau mein kharidaar judaa tum agar jaao to vahshat miri khaa jaae mujhe ghar judaa khaane ko aae dar-o-divaar judaa maal kaa mol hai mauquf kharidaaron par dasht-e-kanaan hai judaa misr kaa baazaar judaa mujh se naaraaz hain jo log vo khush hain un se main judaa chiiz huun 'naatiq' mire ashaar judaa"
N
Natiq Gulavthi
Quote
"dayaar-e-hosh ki pahle junun khabar lenaa uDaa ke dhuul na miTTi kharaab kar lenaa jafaa bhi ho to vo tum jaano aur ham jaanein na ho kisi ko khabar is tarah khabar lenaa nishaani le ke chaleinge vatan ko ghurbat ki kahin se dasht kaa daaman zaraa katar lenaa niyaaz-e-husn bhi hai zindagi ke dhandon mein kisi pe marne ki fursat mile to mar lenaa isi jahaan se miltaa hai dars-e-ibrat bhi hazaar shart hai lenaa na kuchh magar lenaa na mai-kashi na ibaadat hamaari aadat hai ki saamne koi kaam aa gayaa to kar lenaa vafaa kharaab hai raftaar-e-bahr-e-hasti ki abhi to Duub hi jaa phir kabhi ubhar lenaa janaab-e-shaikh to baar-e-gunah se ghabraae hami uThaaeinge 'naatiq' zaraa idhar lenaa"
N
Natiq Gulavthi
Quote
"rind ki kaaenaat kyaa hai khaak taak vaali koi baDaa ghar taak sujhtaa kyaa hai tujh ko naaseh khaak vo masal hai ki aaankhon aage naak pher le jis taraf gharaz chaahe aadmi ban gayaa hai mom ki naak lo junun ki savaari aa pahunchi mere daaman pe chal rahaa hai chaak zar-gari aql ki maaaz-allaah ab khaTaai mein paD gayaa idraak ho gayaa sab lihaaz adab be-baaq ishq be-taab husn hai bebaak garm-joshi thi aabla-paai ab na vo tap na vo tapak na tapaak sher mein aa gayaa hai ab ilhaam laao 'naatiq' likhein sapaak-o-amaak"
N
Natiq Gulavthi
Quote
"bazm-e-duniyaa jis ko kahte hain vo paagal-khaana thaa ham ne khud dekhaa hai matlab kaa har ik divaana thaa baaghbaan ye chaar tinke the paDe rahte kahin nakhl-e-maatam par bhi kyaa bhaari miraa kaashaana thaa ai shab-e-hijraan ziyaada paanv phailaati hai kyuun bhar gayaa jitnaa hamaari 'umr kaa paimaana thaa DhunDo to but bhi yahin mil jaaeinge mard-e-khudaa ham ne dekhaa hai haram hi mein kahin but-khaana thaa kar gayaa kyunkar bayaan-e-dard-e-dil un par asar ye to ai 'naatiq' koi afsun na thaa afsaana thaa"
N
Natiq Gulavthi
Quote
"mire gham ki unhein kis ne khabar ki gai kyuun ghar se baahar baat ghar ki ghuTaa jaataa hai dam rukhsat huaa kaun ye duniyaa gard hai kis ke safar ki ye kaisaa khel hai ai chashm-e-pur-fan udhar kyuun ho gai duniyaa idhar ki hunar sikhaa zamaana aib kaa thaa khataa ki aur ham ne jaan kar ki bahut rusvaa hue bas ai duaa bas khushaamad ab nahin hoti asar ki bahut kyuun ho na rusvaai hamaari yahi to hai kamaai umr bhar ki Tali 'naatiq' musibat jaan le kar hamein rukhsat kiyaa aur aap sarki"
N
Natiq Gulavthi
Quote
"vasf-e-jamaal-e-zauq hai ahl-e-nigaah kaa hairat kahun ki shor kahun vaah vaah kaa ahl-e-junun pe zulm hai paabandi-e-rusum jaada hamaare vaaste kaanTaa hai raah kaa rakhtaa hai talkh-kaam gham-e-lazzat-e-jahaan kyaa kijiye ki lutf nahin kuchh gunaah kaa kyaa kuchh janaab-e-shaikh ki niyyat se thaa baiid mauqaa bhi dukht-e-raz ne diyaa ho gunaah kaa ai barq kab se ik nazar-e-garm ke liye aatash-bajaan hai dasht mein tinkaa giyaah kaa hangaama-e-hayaat se lenaa to kuchh nahin haan dekhte chalo ki tamaashaa hai raah kaa main haasil-e-nazar huun tamannaa-e-did mein letaa huun kaam har bun-e-mu se nigaah kaa 'naatiq' gila-pasand hai tu gham-jafaa-pasand ai daad-khvaah kaam hai be-daad-khvaah kaa"
N
Natiq Gulavthi
Quote
"sham-e-kushta ki tarah main tiri mahfil se uThaa aah kaisi vo dhuaan thaa jo bujhe dil se uThaa khel hai hasti-e-mauhum magar hai dilchasp jo yahaan baiTh gayaa aa ke vo mushkil se uThaa tu ne ye kis ko uThaayaa hai ki dil baiTh gae kaun baiThaa hai ki fitna tiri mahfil se uThaa kaun gharqaab huaa hai ki uDaataa huaa khaak aaj be-taab bagulaa lab-e-saahil se uThaa ham-safar hai koi uftaad to pesh aane ko ki qadam aaj ulajhtaa huaa manzil se uThaa ji churaane ki nahin shart dil-e-zaar yahaan ranj uThaane hi ki Thahri hai to phir dil se uThaa ahl-e-haq bhi yahin mil jaaeinge uTh to 'naatiq' haq ki aavaaz to but-khaana-e-baatil se uThaa"
N
Natiq Gulavthi