Quote
"hai ye to khizaan ne ruup bharaa ham jis ko bahaaraan kahte hain bas ek nazar kaa dhokaa hai sab jis ko gulistaan kahte hain izzat bhi hai daulat bhi par aadamiyat kaa naam nahin ham kis ko hindu kahte hain ham kis ko musalmaan kahte hain kuchh der ho to ham sabr karein andher nahin dekhaa jaataa hai apne ghar mein aag lagi sab jis ko charaaghaan kahte hain ai saath safar karne vaalo Thahro na yahaan aage ko baDho ham jis ko manzil samjhe hain sab bhul-bhulayyaan kahte hain jab aql mujhe samjhaati hai behosh na ho naadaan na ban dil se gham-e-jaanaan kahtaa hai us ko gham-e-dauraan kahte hain hain dafn yahaan daulat vaale taaqat vaale izzat vaale qudrat kaa dafina hai jis ko ham gor-e-gharibaan kahte hain pi ghaafil ab parhez na kar kuchh talkh sahi kuchh tez sahi le de ke yahi hai ek davaa-e-gardish-e-dauraan kahte hain maikhaane ke phere kartaa hai ab vaaiz 'bekhud' sunte hain us ne bhi shaayad baandh liyaa paimaane se paimaan kahte hain"







