SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byAbdul Aziz Fitrat(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"jigar kaa khuun aansu mein agar shaamil nahin hogaa ye moti armughaan-e-dost ke qaabil nahin hogaa hasin khvaabon ki duniyaa muztarib jazbaat ki basti tumhein kyunkar yaqin aaya ye meraa dil nahin hogaa shikasta saaz hai TuuTaa huaa saaghar hai dil meraa miraa dil baais-e-rangini-e-mahfil nahin hogaa tumhaaraa sang-e-dar meri jabin-e-shauq kyaa kahiye ye sang-e-dar harif-e-sajda-e-saail nahin hogaa mujhi se zid hai daur-e-aasmaan aur daur-e-saaghar ko mujhe kyon muddaaa-e-zindagi haasil nahin hogaa miri kashti hui hai jaa ke aasuda jahaan 'fitrat' fanaa ki mauj hogi dekhnaa saahil nahin hogaa"
Abdul Aziz FitratAbdul Aziz Fitrat
Quote
"rah-e-gham mein zikr un kaa miraa khaas ham-safar thaa gharaz un ke hi karam se safar apnaa mukhtasar thaa ye sarisht thi jabin ki ise tum muaaf kar do na khayaal-e-dard-e-sar thaa na khayaal-e-sang-e-dar thaa gham-e-dil surur ban kar miri zindagi pe chhaayaa gham-e-dil ki khush-mazaaqi se main kitnaa baa-khabar thaa mire doston ne jaanchaa hai miri sukhan-vari ko na main saahaib-e-hunar thaa na main khaadim-e-hunar thaa kabhi zulmaton kaa shaidaa kabhi nuur kaa thaa joyaa kabhi shab-parast thaa main kabhi kushta-e-sahar thaa nai manzilon ke raste mire paaon chhu rahe hain main harif-e-rahguzar huun main harif-e-rahguzar thaa baDi muddaton mein aa kar ye khulaa hai mujh pe 'fitrat' ki bayaan-e-gham ki khaatir main zabaan-e-chashm-e-tar thaa"
Abdul Aziz FitratAbdul Aziz Fitrat
Quote
"us se kahun main haal-e-dil-e-daagh-daagh kyaa hans kar jo ye kahe ki sajaayaa hai baagh kyaa qabr ek khush-nasib ki phulon se aT gai yaaron ke aansuon ne jalaae charaagh kyaa vo multafit nahin hain to kyaa lutf-e-mai-kashi ab hain nazar mein hech subu kyaa ayaagh kyaa vo mehrbaan na hon to khushi kaa kise dimaagh dil mutmain na ho to gham-e-sair-e-baagh kyaa shabnam ke girya se miraa pahunchaa kahaan khayaal ghuncha hai sina-e-chamanistaan kaa daagh kyaa 'fitrat' mizaaj-e-sher ki garmi na puchhiye do she'r kah ke jalne lagaa hai dimaagh kyaa"
Abdul Aziz FitratAbdul Aziz Fitrat
Quote
"masti mein bhi khayaal-e-hudud-e-adab rahaa ashkon mein haal arz kiyaa basta-lab rahaa tere karam ne mujh ko ataa ki vo be-khudi arz-e-sipaas kaa mujhe phir hosh kab rahaa tu ne jo kuchh diyaa vo diyaa lutf-e-khaas se paaband-e-aastin miraa dast-e-talab rahaa us bazm mein nigaah pe qaabu na rakh sakaa haan mujh ko e'tiraaf hai main be-adab rahaa daur-e-amal mein ham se to kuchh bhi na ho sakaa itnaa huaa ki shohra-e-bazm-e-adab rahaa jaam-e-tahi milaa tiri mahfil se kyaa huaa paimaana dil ke khuun se yahaan lab-ba-lab rahaa 'fitrat' rumuz-e-ishq na kah girya-kosh rah sab kuchh kahaa usi ne jo yaan basta-lab rahaa"
Abdul Aziz FitratAbdul Aziz Fitrat
Quote
"vaaiz mariz huun main kisi ki nigaah kaa mujh par asar na hogaa tire intibaah kaa tasvir un ke aariz-e-zebaa ki hai sahar raat ek aks hai mire haal-e-tabaah kaa un ko kiyaa pasand to khud ho gayaa pasand aalam hai mo'tarif mire zauq-e-nigaah kaa nur-e-mohammad-e-arabi mere dil mein hai surma hai meri aankh mein yasrib ki raah kaa jin ki jabin ne sajda-e-khaak-e-haram kiyaa unchaa hai sab se gosha unhin ki kulaah kaa ai zauq-e-did shaan-e-shab-e-maahtaab dekh aaina hai ye husn ki jaulaan-gaah kaa go mujh ko hasrat-e-karam-e-mustaqil nahin khvaahaan hai dil magar sitam-e-gaah-gaah kaa"
Abdul Aziz FitratAbdul Aziz Fitrat
Quote
"sahar kaa nuur miraa rang-e-shaam hai meraa unhin ke husn kaa partav kalaam hai meraa tiri nigaah ne jis mein sharaab chhalkaai kisi ke haath mein bhi ho vo jaam hai meraa zahe-nasib ki aaj un hasin aankhon mein har ek ashk-e-darakhshaan pe naam hai meraa mujhe guzishta-o-aainda kaa malaal ho kyon mizaaj-e-gardish-e-dauraan ghulaam hai meraa aziz-e-misr-e-sukhan huun sukhnavaron se kaho savaad-e-shahr-e-ghazal mein qiyaam hai meraa fazaa fazaa miri gard-e-safar uDi 'fitrat' ki dast-e-daur-e-havaadis mein jaam hai meraa"
Abdul Aziz FitratAbdul Aziz Fitrat
Quote
"khatm kal tak irtibaat-e-jism-o-jaan ho jaaegaa har nafas afsaana-e-umr-e-ravaan ho jaaegaa ai hujum-e-dard ab ashkon kaa thamnaa hai muhaal ab ye sotaa ek hijr-e-be-karaan ho jaaegaa yaad teri khinch degi dil mein tasvirein tiri dard teraa ek dard-e-jaavedaan ho jaaegaa dasht-e-ghurbat mein miri aankhon se Tapkaa hai jo aaj kyaa ye aansu ek harf-e-raaegaan ho jaaegaa ishratein kam hote hote be-nishaan ho jaaeingi gham kaa dariyaa baDhte baDhte be-karaan ho jaaegaa naala naala dil ki betaabi karegaa aashkaar ashk ashk andoh-e-dil kaa tarjumaan ho jaaegaa nazaa mein 'fitrat' ye tum ne mehrbaani ki to hai maut kaa paighaambar naa-mehrbaan ho jaaegaa"
Abdul Aziz FitratAbdul Aziz Fitrat
Quote
"ye zauq pech-o-taab kaa ye raqs mauj-e-aab kaa ajiib rang hai hamaare dil ke iztiraab kaa ye zindagi ye be-kanaar ranj-o-gham ki daastaan ye zindagi khayaal hai javaaniyon ke khvaab kaa miri guzaarishaat ke javaab mein ye khaamushi mujhe gumaan na thaa is intihaa-e-ijtinaab kaa tiri nigaah hai ki kaif-e-taaza kaa payaam hai tiri nigaah hai ki daur hai sharaab-e-naab kaa vo mere ranj-o-gham ne ham-nafas talaash kar liyaa vo phikaa paD gayaa hai rang ru-e-maahtaab kaa gharib 'fitrat' aaj-kal khamosh-o-girya-kosh hai kabhi to rang dekh us ke dida-e-pur-aab kaa"
Abdul Aziz FitratAbdul Aziz Fitrat
Quote
"vo dil jo kushta-e-gham-e-sud-o-ziyaan na thaa shaaista-e-navaazish-e-daur-e-jahaan na thaa kab mujh ko lutf-e-ahl-e-mohabbat na thaa nasib kab meraa dil mataaa-e-gham-e-dostaan na thaa juz teri yaad ke na thi dil-soz koi yaad juz tere gham ke dil pe koi gham giraan na thaa dil aur gham ke rabt ne majbur kar diyaa yuun varna har qadam pe kabhi imtihaan na thaa vo mil gayaa hai ab mujhe apni khabar ho kyon thi us ki justuju to ye banda kahaan na thaa tum to har ek husn ko pahchaante ho khuub gul ki chaTak mein kyaa miraa husn-e-bayaan na thaa"
Abdul Aziz FitratAbdul Aziz Fitrat
Quote
"uchaTti si nazar ke saath mubham saa payaam aaya kai mafhum le kar ek harf-e-naa-tamaam aaya tasavvur ki nazar bhi jhuk gai taazim dene ko takhayyul ke ufuq par kaun saa maah-e-tamaam aaya mukhaatab main na thaa lekin yahi ehsaas hotaa hai ki mujh tak baar baar un ki nigaahon kaa payaam aaya rahi jis ki nazar sayyaad ki ek ek harakat par vahi kam-bakht taair adbadaa kar zer-e-daam aaya tumhaari yaad jab aai to aai kaif-e-mai ban kar tumhaaraa zikr jab aaya to ban kar daur-e-jaam aaya mubaarak jazb-e-ulfat aaj to vo meri baalin par ba-gharz-e-guftugu aaya ba-ummid-e-kalaam aaya"
Abdul Aziz FitratAbdul Aziz Fitrat
Quote
"lab par na shikva-e-gham-e-ayyaam aaegaa jab aaegaa zabaan pe tiraa naam aaegaa jin kaa khayaal unhein sahar-o-shaam aaegaa main jaantaa huun un mein meraa naam aaegaa us zulf-e-mushkbu kaa jinhein mas nasib hai dil ko unhin fazaaon mein aaraam aaegaa baadal bhi qurmuzi hain sharaabein bhi qurmuzi ab bhi agar na pi to phir ilzaam aaegaa khurshid ko tulua mein kyon der ho gai kyaa aakhir-e-shab aur bhi ik jaam aaegaa mujh ko yaqin hai gardish-e-saaghar ke baavajud aksar khayaal-e-gardish-e-ayyaam aaegaa 'fitrat' ko hai siyaasat-e-pir-e-mughaan se kaam sarshaar ho chukungaa to phir jaam aayegaa"
Abdul Aziz FitratAbdul Aziz Fitrat
Quote
"apni naakaam tamannaaon kaa maatam na karo tham gayaa daur-e-mai-e-naab to kuchh gham na karo aur bhi kitne tariqe hain bayaan-e-gham ke muskuraati hui aankhon ko to pur-nam na karo haan ye shamshir-e-havaadis ho to kuchh baat bhi hai gardanein tauq-e-ghulaami ke liye kham na karo tum to ho rind tumhein mahfil-e-jam se kyaa kaam bazm-e-jam ho gai barham to koi gham na karo baada-e-kohna Dhale saaghar-e-nau mein 'fitrat' zauq-e-fariyaad ko aazurda-e-maatam na karo"
Abdul Aziz FitratAbdul Aziz Fitrat
Quote
"aap ne ki nazar to chaman jaag uThaa mausam-e-gul kaa divaana-pan jaag uThaa aaj sarshaar qalb-o-nazar ho gae husn yuun anjuman anjuman jaag uThaa so na paayaa thaa najm-e-sahar aur phir ban ke pahli rupahli kiran jaag uThaa kis ishaare ne izn-e-takallum diyaa be-zabaanon kaa zauq-e-sukhan jaag uThaa husn ne imtihaan kaa iraada kiyaa ishq kaa zauq-e-daar-o-rasan jaag uThaa anjum anjum tabassum mein gum ho gayaa subh hote hi charkh-e-kuhan jaag uThaa bu-e-gul kis qadar thi hayaat-aafrin khvaab se 'fitrat'-e-khush-sukhan jaag uTThaa"
Abdul Aziz FitratAbdul Aziz Fitrat
Quote
"kisi Dhab raah par ab qalb-e-divaana nahin aataa ki ashk aankhon mein hain aur lab pe afsaana nahin aataa nahin sikhaa mire gham ne khushi mein mahv ho jaanaa mire naalon ko naghmon mein samaa jaanaa nahin aataa har ik zarre ko sajda kar ke bhi mahrum-e-manzil huun hazaaron kaabe aae ek but-khaana nahin aataa mohabbat zindagi ki jaan gham jaan-e-mohabbat hai samajhtaa huun magar duniyaa ko samjhaanaa nahin aataa mohabbat aag hai main aag mein jaltaa huun aur khush huun mujhe gham khaa rahaa hai mujh ko gham khaanaa nahin aataa jigar ke daagh kaise daagh hain be-nur-o-be-raunaq ye shamein kyaa hain jin par koi parvaana nahin aataa junun mein ahl-e-dil kaa ye bhi ik andaaza hai 'fitrat' ki Thokar khaanaa aataa hai sanbhal jaanaa nahin aataa"
Abdul Aziz FitratAbdul Aziz Fitrat
Quote
"baagh tak kyaa kaarvaan-e-husn-e-be-parvaa gayaa bu pareshaan hai rukh-e-gul ko pasina aa gayaa meraa saaghar is tarah chhalkaa ki dil ghabraa gayaa us pe saaqi kaa ye farmaanaa ki teraa kyaa gayaa shauq ki duniyaa niraali hai ki raah-e-shauq mein kaarvaan jitnaa luTaa zauq-e-ziyaan baDhtaa gayaa be-kasi phir DhunDhti thi aasraa tufaan mein aap kaa ism-e-giraami mere lab par aa gayaa intihaa paakizgi ki us pe ye husn-e-libaas bu-e-gul ko jaama barg-e-taaza kaa bakhshaa gayaa naakhudaa saahil kaa saathi thaa use tufaan se kaam naakhudaa ko chhoD kar main mauj tak tanhaa gayaa chashm-e-fitrat hai bahaar-e-ghuncha-o-gul ki kafil abr uTThaa jhuum kar barsaa chaman lahraa gayaa"
Abdul Aziz FitratAbdul Aziz Fitrat
Quote
"na ham apne na vo apne na dil apnaa na raaz apnaa man-o-tu ke jahaan mein hai yahi bas imtiyaaz apnaa zabaan un ki hai zikr un kaa khayaal un kaa hai yaad un ki na harf-e-naghma apnaa hai na koi taar-e-saaz apnaa do ik be-rang aansu hain do ik be-rabt baatein hain na rudaad apni tulaani na afsaana daraaz apnaa nahin maa'lum ki kaun aaegaa kab aaegaa lekin dar-e-dida bhi vaa hai aur dar-e-dil bhi hai baaz apnaa gham-e-jaan maaya-e-rahmat gham-e-jaan daulat-e-taskin yahi kuchh kaaenaat apni yahi kuchh barg-o-saaz apnaa bi-hamdillaah apni chashm-e-tar hai baa-vazu daaim bi-hamdillaah dil har dam hai masruf-e-namaaz apnaa dil apnaa saaf hai maanind-e-maah-e-zau-fishaan 'fitrat' 'ayaan hain sab pe aur rakhte nahin hain koi raaz apnaa"
Abdul Aziz FitratAbdul Aziz Fitrat
Quote
"agarche dil thaa ghamon se figaar aur rahaa magar gila thaa zi-bas naagavaar aur rahaa kisi ko raah mire ghar ki yaad hi na rahi main intizaar mein thaa be-qaraar aur rahaa zamaana khaaegaa qasmein hamaari azmat ki ye daur-e-gham jo zaraa saazgaar aur rahaa huaa hai kab safar-e-zindagi tamaam ki jab na raaste mein koi khaar-zaar aur rahaa sahaab-e-lutf na kisht-e-umid par barsaa chaman karam kaa thaa ummid-vaar aur rahaa ye lijiye dil-e-sad-paara aur haazir hai ye ek kushta-e-lail-o-nahaar aur rahaa yahi azal se hai dastur-e-dosti 'fitrat' vafaa kaa tishna thaa har dost-daar aur rahaa"
Abdul Aziz FitratAbdul Aziz Fitrat
Quote
"jab sud-o-ziyaan ki fikr nahin phir sud-o-ziyaan kaa naam bhi kyaa khauf-e-sitam-e-sayyaad bhi kyon andesha-e-daana-o-daam bhi kyaa kyaa ilm thaa bejaa khadshe bhi ham-raah-e-havaadis aaeinge TuTeinge jo dil par sadme to chheDeinge hamein auhaam bhi kyaa paighaam ab un ke aate hain tum bas mein nahin dil bas mein nahin kyaa tanz qayaamat-khez hai ye vo bhejte hain paighaam bhi kyaa afsaana-e-ishq sunaa lekin us mein kahin apnaa naam na thaa ham miT gae duniyaa se lekin baaqi nahin apnaa naam bhi kyaa jis hausla-e-yak-gaam se vo tai kar gayaa ziist ki har manzil chhin jaaegaa 'fitrat' se aakhir vo hausla-e-yak-gaam bhi kyaa"
Abdul Aziz FitratAbdul Aziz Fitrat