SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byAzad Gulati(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"lamha lamha ik nai sai-e-baqaa karti hui kaT rahi hai zindagi khud ko fanaa karti hui teri chup hai yaa mire andar machaa kohraam hai koi shai to hai zabaan ko be-navaa karti hui apne andar reza reza TuuT kar bikhraa huun main hai ye kyaa shai chor dil kaa aainaa karti hui kisht-e-jaan se din ko kaTti hai nae zakhmon ki fasl raat aati hai inhein phir se haraa karti hui mere hone se na hone kaa sabab paidaa huaa mujh ko hasti hi thi khud mujh se judaa karti hui maut to 'aazaad' hai aazaadiyon kaa ik jahaan zindagi hai har nafas khud ko rihaa karti hui"
Azad GulatiAzad Gulati
Quote
"kabhi mili jo tire dard ki navaa mujh ko khamoshiyon ne mujhi se kiyaa judaa mujh ko badan ke suune khanDar mein kabhi jalaa mujh ko main teri ruuh ki zau huun na yuun bujhaa mujh ko main apni zaat ki ham-saaegi se Dartaa huun mire qarib khudaa ke liye na laa mujh ko main chup huun apni shikast-e-sadaa ki vahshat par mujhe na bolnaa paD jaae mat bulaa mujh ko ye main thaa yaa mire andar kaa khauf thaa jis ne tamaam umr di tanhaai ki sazaa mujh ko bhaTak rahaa huun main be-samt raaston ki tarah kisi bhi samt kaa ho raasta dikhaa mujh ko har ik ne dekhaa mujhe apni apni nazron se koi to meri nazar se bhi dekhtaa mujh ko samo ke aankhon mein umDi ghaTaaein ai 'aazaad' vo ek dard kaa sahraa banaa gayaa mujh ko"
Azad GulatiAzad Gulati
Quote
"vo jo kisi kaa ruup dhaar kar aayaa thaa mere andar basne vaalaa saayaa thaa vo dukh bhi kyuun ham ko tanhaa chhoD gae kyaa kyaa chhoD ke ham ne jinhein apnaayaa thaa khud tum ne darvaaze band rakkhe varna main ik taaza havaa kaa jhonkaa laayaa thaa meri ik aavaaz se saari TuuT gai vo divaarein jin par tu itraayaa thaa viraan dil mein gham ke priit bhaTakte the meri chup par kisi sadaa kaa saayaa thaa is mein ek janam-bhar ke dukh simTe the vo aansu jo palkon par lahraayaa thaa"
Azad GulatiAzad Gulati
Quote
"bahut lambaa safar tapti sulagti khvaahishon kaa thaa magar saayaa hamaare sar pe guzri saaaton kaa thaa saron pe haath apne ghar ki bosida chhaton kaa thaa magar mahfuz saa manzar hamaare aanganon kaa thaa kisi bhi sidhe raste kaa safar miltaa use kyun-kar ki vo masdud khud apne banaae daaeron kaa thaa kabhi hanste hue aansu kabhi roti hui khushiyaan karishma jo bhi thaa saaraa hamaari hi hison kaa thaa khud apni kaavishon se ham ne apni qismatein likkhin magar kuchh haath in mein bhi hamaare dushmanon kaa thaa nae rishte muqaddas khvaab se aavaaz dete the magar aaseb saa dil par guzishta raabton kaa thaa kise milti najaat 'aazaad' hasti ke masaail se ki har koi muqayyad aab-o-gil ke silsilon kaa thaa"
Azad GulatiAzad Gulati
Quote
"meraa to naam ret ke saagar pe naqsh hai phir kis kaa naam hai jo tire dar pe naqsh hai pheinkaa thaa ham pe jo kabhi us ko uThaa ke dekh jo kuchh lahu mein thaa usi patthar pe naqsh hai shaayad idhar se guzraa hai ik baar tu kabhi teri nazar kaa lams jo manzar pe naqsh hai teraa khayaal mujh se go mil kar bichhaD gayaa us ki mahak kaa aks mire ghar pe naqsh hai mere khaton ko rakh ke sirhaane vo so gayaa jaagaa to mere jism kaa bistar pe naqsh hai ab is mein jo bhi Daaliye amrit se kam nahin jo in labon pe thaa vahi saaghar pe naqsh hai jo zakhm ik nazar se milaa thaa vo bhar gayaa dhundlaa saa daagh ruuh ke paikar pe naqsh hai khanjar chalaa thaa mujh pe magar moajaza hai ye qaatil kaa apnaa khuun hi khanjar pe naqsh hai 'aazaad' kaun thaa jo tahon mein utar gayaa kis ki hayaat hai jo samundar pe naqsh hai"
Azad GulatiAzad Gulati
Quote
"saahil pe ruk ke su-e-samundar na dekhiye baahar se apne aap kaa manzar na dekhiye apne vujud hi pe na guzrin kai shukuk saae ko apne qad ke baraabar na dekhiye jaage to mahz ret hi paaeinge har taraf gar ho sake to khvaab mein saagar na dekhiye apne hi sar ke zakhm kaa kuchh kijiye 'ilaaj aayaa hai kis taraf se ye patthar na dekhiye yakjaa na karne aaegaa koi tamaam 'umr khush-fahmiyon se khud mein bikhar kar na dekhiye phir yuun na ho ki apnaa badan ajnabi lage behtar hai is ke khol se baahar na dekhiye 'aazaad' ji Daraaegaa parchhaaiyon kaa khauf viraan nazar se koi bhi manzar na dekhiye"
Azad GulatiAzad Gulati
Quote
"kis ne sadaa di kaun aayaa hai ai dil tu kyuun yuun chaunkaa hai aap se mil kar yuun lagtaa hai ek hasin sapnaa dekhaa hai aankhein niind se kyuun hain bojhal gham kaa nasha kuchh TuuT rahaa hai duur nagar ke rahne vaalo kaun kisi ke paas rahaa hai sab ko hai apnaa apnaa gham kis ne kis kaa gham samjhaa hai yaadon ki mahfil mein kho kar dil apnaa tanhaa tanhaa hai hasti ke sunsaan safar mein kis ne kis kaa saath diyaa hai aankhein khol ke dekhne vaalo hasti ik sundar sapnaa hai"
Azad GulatiAzad Gulati
Quote
"aaj tak phirtaa rahaa main tujh mein hi khoyaa huaa tujh se bichhDaa huun to khud se mil liyaa achchhaa huaa zindagi ki chilchilaati dhuup mein aisaa huaa muddaton ham par na teri yaad kaa saayaa huaa dil se shaayad teraa gham bhi ab judaa hone ko hai phir rahaa huun in dinon khud se bhi main uljhaa huaa tum chamakti car phulon ki mahak ik ajnabi aise lagtaa hai ye manzar hai miraa dekhaa huaa reza reza ho gayaa main to ne jab aavaaz di teri khaamoshi se thaa main is qadar TuuTaa huaa kitni yaadein aansuon mein thartharaa kar rah gaiin us ne jab puchhaa kaho 'aazaad' tum ko kyaa huaa"
Azad GulatiAzad Gulati
Quote
"main apne aap se ik khel karne vaalaa huun sabhi ye soch rahe hain ki marne vaalaa huun kisi ki yaad kaa mahtaab Dubne ko hai main phir se shab ki tahon mein utarne vaalaa huun sameT lo mujhe apni sadaa ke halqon mein main khaamushi ki havaa se bikharne vaalaa huun mujhe Dubone kaa manzar hasin thaa lekin hasin-tar hai ye manzar ubharne vaalaa huun hayaat farz thi yaa qarz kaTne vaali hai main jism o jaan ki hadon se guzarne vaalaa huun main saath le ke chalungaa tumhein ai ham-safaro main tum se aage huun lekin Thaharne vaalaa huun sadaa-e-dasht sahi meri zindagi 'aazaad' khalaa-e-dasht ko apne se bharne vaalaa huun"
Azad GulatiAzad Gulati
Quote
"raushni phaili to sab kaa rang kaalaa ho gayaa kuchh diye aise jale har-su andheraa ho gayaa jis ne meraa saath chhoDaa aur kisi kaa ho gayaa sach to ye hai mujh se bhi baDh kar vo tanhaa ho gayaa vaqt kaa ye moD kaisaa hai ki tujh se mil ke bhi tujh ko kho dene kaa gham kuchh aur gahraa ho gayaa ham ne tanhaai ki chaadar taan li aur so gae log jab kahne lage uTTho saveraa ho gayaa Dubtaa suraj huun main vo meraa saayaa dekh kar sochtaa ye hai qad us kaa mujh se lambaa ho gayaa chand lamhe the jo barson baad tak biite nahin kuchh baras vo bhi the jin kaa ek lamha ho gayaa jab zabaan kholi to sab ko niind si aane lagi chup hue to yuun lagaa har shakhs bahraa ho gayaa saath us kaa chhoD kar aae to ye aalam rahaa ham ne jis chehre ko dekhaa us kaa chehra ho gayaa is taalluq ko bhalaa 'aazaad' main kyaa naam duun vo kisi kaa ho ke bhi kuchh aur meraa ho gayaa"
Azad GulatiAzad Gulati
Quote
"tumhaare paas rahein ham to maut bhi kyaa hai magar jo duur kaTe tum se zindagi kyaa hai jab uTh ke chal diye tum tirgi umaD aai jo tum na ho to charaaghon ki raushni kyaa hai kuchh aise phuul bhi guzre hain meri nazron se jo khil ke bhi na samajh paae zindagi kyaa hai bas un ki yaad ke ham paanv chuum lete hain hamein khabar nahin meraaj-e-bandagi kyaa hai kabhi jo gosh-bar-aavaaz ho ke us ko suno tumhein pata bhi chale saaz-e-khaamushi kyaa hai miri nigaah ne kyaa kyaa na khvaab dekhe hain tiri nigaah ne ik baat si kahi kyaa hai hamin ne zulmat-e-hasti mein dil jalaae hain ye ham samajhte hain darmaan-e-tirgi kyaa hai ubhar rahi hai jo rah rah ke dil ki dhaDkan mein vo aarzu hai ki hai us ki bebasi kyaa hai khizaan-nasib hon nazrein jo ahl-e-gulshan ki to phir bahaar ke jalvon ki taazgi kyaa hai jahaan mein ye kabhi majbur hai kabhi mukhtaar hai ek shoabada 'aazaad' aadmi kyaa hai"
Azad GulatiAzad Gulati
Quote
"badal gai hain agarche zaruratein apni hamaare saath hain ab tak rivaayatein apni hamein hayaat kaa har lamha tab bhi dozakh thaa hamaare paanv tale jab thiin jannatein apni vo phuul ab khile jin ki talaash mein ham log ganvaa chuke hain kabhi ke basaaratein apni rahe hain apni hi pahchaan mein yuun sargardaan ki yaad aati nahin ham ko suratein apni bike hain kauDiyon ke bhaav to gila kis se hamin ko khud na thiin maa'lum qimatein apni khamoshiyon ki sadaaein bulaa rahi thiin hamein na saath de sakin lekin samaa'atein apni sabhi ko daa'vaa hai 'aazaad' jaante hain hamin khulin na ham pe hi lekin haqiqatein apni"
Azad GulatiAzad Gulati
Quote
"dil ke sahraa par dete hain jab ashkon ke saagar dastak ruuh ke sannaaTe mein suntaa huun main andar baahar dastak ab tak har shab sote sote chaunk uThtaa huun tanhaai mein muddat biiti main ne suni thi ik shab apne dar par dastak shaam kaa Dhaltaa suraj duur ufuq par Thahraa soch rahaa hai kab shab biite aur vo de phir subh ke darvaaze par dastak bhigi shab ke sannaaTe mein aise is kaa dhyaan aataa hai jaise kisi taalaab ke paani par detaa hai kankar dastak ab tak zehn pe manDlaati hai dukh si piili shaam saloni dil mein aas niraas ki uljhan main tanhaa is kaa dar dastak abhi to ummidon ne shish mahal mein rahne ki sochi thi abhi se kyon dete hain dar par mahrumi ke patthar dastak tan kaa khaali bartan chhan se baj uThThaa aazaad jab us ne is par ik shab de di pahan kar ik khvaahish ki jhaanjhar dastak"
Azad GulatiAzad Gulati
Quote
"sarhad-e-jism se baahar kahin ghar likkhaa thaa ruuh par apni khalaaon kaa safar likkhaa thaa ham bhaTakte rahe sadiyon jise paDhne ke liye apne andar vo kahin harf-e-hunar likkhaa thaa aaj un aankhon mein dekhaa to milaa dasht-e-khalaa ham ne jin aankhon mein ik khvaab-nagar likkhaa thaa apne ghar mein isi ehsaas ne jiine na diyaa apne haathon pe kisi aur kaa ghar likkhaa thaa zindagi ek sulagtaa huaa sahraa thaa jahaan sab ki aankhon mein saraabon kaa bhanvar likkhaa thaa kaun thaa mujh mein ki jis ne mujhe paDhne na diyaa mere chehre pe miraa naam agar likkhaa thaa apni hi zaat ke haale mein rahe ham 'aazaad' an-ginat daaeron kaa yaani safar likkhaa thaa"
Azad GulatiAzad Gulati
Quote
"khud hamin ko raahaton ke kaif kaa chaskaa na thaa zindagi kaa zahr varna is qadar kaDvaa na thaa us ne tanhaai se ghabraa kar pukaaraa to nahin is se pahle to miraa dil is tarah dhaDkaa na thaa haae vo aalam ki un ki bazm mein bhi baiTh kar main yahi sochaa kiyaa main to kabhi tanhaa na thaa us ke apne haath rukhsaaron ko sahlaane lage go ba-zaahir meri baabat us ne kuchh sochaa na thaa har taraf khilti rahin kaliyaan nasim-e-subh se apni qismat mein sabaa kaa ek bhi jhonkaa na thaa zindagi ai zindagi!! aa do ghaDi mil kar rahein tujh se meraa umr-bhar kaa to koi jhagDaa na thaa sochte hain ab use 'aazaad' ham kyaa naam dein umar kaa vo daur dil mein jab koi saudaa na thaa"
Azad GulatiAzad Gulati
Quote
"karb hare mausam kaa tab tak sahnaa paDtaa hai patjhaD mein to paat ko aakhir jhaDnaa paDtaa hai kab tak auron ke saanche mein Dhalte jaaeinge kisi jagah to ham ko aakhir uDnaa paDtaa hai sirf andhere hi se diye ki jang nahin hoti tez havaaon se bhi is ko laDnaa paDtaa hai sahi-salaamat aage baDhte rahne ki khaatir kabhi kabhi to khud bhi pichhe haTnaa paDtaa hai sher kahein to aql-o-junun ki sarhad par ruk kar lafzon mein jazbon ke nagon ko jaDnaa paDtaa hai jivan jiinaa itnaa bhi aasaan nahin 'aazaad' saans saans mein reza reza kaTnaa paDtaa hai"
Azad GulatiAzad Gulati
Quote
"main bichhaD kar tujh se teri ruuh ke paikar mein huun tu miri tasvir hai main tere pas-manzar mein huun apnaa markaz DhunDtaa huun daaeron mein kho ke main kitne janmon se main ik mahdud se chakkar mein huun khud hi dastak de rahaa huun apne dar par der se ghar se baahar rah ke bhi jaise main apne ghar mein huun main vo aazar huun jise barson rahi apni talaash khud hi murat ban ke poshida har ik patthar mein huun dekhne vaale mujhe meri nazar se dekh le main tiri nazron mein huun aur main hi har manzar mein huun gunjtaa huun apne andar aur kho jaataa huun main ik sadaa ban kar anaa ke gumbad-e-be-dar mein huun main kabhi ik jhiil thaa phaile hue sahraaon mein aaj main ik pyaas kaa sahraa huun aur saagar mein huun maut ko 'aazaad' ye irfaan denaa hai mujhe kaaTti hai mujh ko jis se vo main us khanjar mein huun"
Azad GulatiAzad Gulati
Quote
"hamaari aankh mein Thahraa huaa samundar thaa magar vo kyaa thaa jo sahraa-e-dil ke andar thaa usi ko zulf mein Taanke ye aarzu kyun-kar vo phuul jo ki tiri dastaras se baahar thaa vo vaqt aaegaa jab khud tumhi ye sochogi milaa na hotaa agar tujh se main to behtar thaa har ek ang labaalab bharaa ho jaise jaam tumhaaraa jism thaa yaa mai-kade kaa manzar thaa use bhi jaate hue tum ne mujh se chhin liyaa tumhaaraa gham to miri aarzu kaa zevar thaa bahut qarib se dekhaa thaa us ko ai 'aazaad' vo aarzu kaa miri ik hasin paikar thaa"
Azad GulatiAzad Gulati