SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byHaider Qureshi(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"vasl ki shab thi aur ujaale kar rakkhe the jism o jaan sab us ke havaale kar rakkhe the jaise ye pahlaa aur aakhiri mel huaa ho haal to donon ne behaale kar rakkhe the khoj rahe the ruuh ko jismon ke raste se taur-tariqe paagalon vaale kar rakkhe the ham se naa-daanon ne ishq ki barkat hi se kaise kaise kaam niraale kar rakkhe the vo bhi thaa kuchh halke halke se make-up mein baal apne ham ne bhi kaale kar rakkhe the apne aap hi aayaa thaa phir marham ban kar jis ne hamaare dil mein chhaale kar rakkhe the 'haidar' apni taasirein le aae aakhir hijr mein ham ne jitne naale kar rakkhe the"
Haider QureshiHaider Qureshi
Quote
"dilon mein dushmanon ke is tarah Dar bol uThte hain gavaahi ko chhupaate hain to manzar bol uThte hain miri sachchaai meri be-gunaahi sab pe zaahir hai ki ab jangal kuein sahraa samundar bol uThte hain vo patthar-dil sahi lekin hamaaraa bhi ye daavaa hai hamaare lab jinhein chhu lein vo patthar bol uThte hain badal jaate hain ik lamhe mein hi taarikh ke dhaare kabhi jo mauj mein aa kar qalandar bol uThte hain ye kyaa jaadu hai vo jab bhi mire milne ko aataa hai khushi se ghar ke sab divaar aur dar bol uThte hain zabaan-e-haq kisi ke jabr se bhi ruk nahin sakti ki neze ki ani par bhi Tange sar bol uThte hain labon ki qaid se kyaa farq aayaa dil ki baaton mein ki saare lafz aankhon se ubhar kar bol uThte hain ajab ahl-e-sitam ahl-e-vafaa mein Than gai 'haidar' sitam karte hain vo aur ye mukarrar bol uThte hain"
Haider QureshiHaider Qureshi
Quote
"fasl-e-gham ki jab nau-khezi ho jaati hai dard ki maujon mein bhi tezi ho jaati hai paani mein bhi chaand sitaare ug aate hain aankh se dil tak vo zarkhezi ho jaati hai andar ke jangal se aa jaati hain yaadein aur fazaa mein sandal-bezi ho jaati hai khushiyaan gham mein bilkul ghul-mil si jaati hain aur nashaat mein gham-angezi ho jaati hai shirin se lahje mein bhar jaati hai talkhi hila-jui jab parvezi ho jaati hai be-had power jis ko bhi mil jaae us ki tarz yazidi yaa changezi ho jaati hai ghazlon mein vaise to sach kahtaa huun lekin kuchh na kuchh to rang-aamezi ho jaati hai husn tumhaaraa to hai sach aur khair saraapaa ham se hi bas shar-angezi ho jaati hai zaahir kaa parda haTne vaali manzil par saalik se bhi bad-parhezi ho jaati hai 'rumi' ko 'haidar' jab bhi paDhne lagtaa huun baatin ki duniyaa tabrezi ho jaati hai"
Haider QureshiHaider Qureshi
Quote
"tumhaare ishq mein kis kis tarah kharaab hue rahaa na aalam-e-hijraan na vasl-yaab hue bas itni baat thi do din kabhi na mil paaein kahin pe tapte hue thal kahin chanaab hue ajab sazaa hai ki mere duaaon vaale huruf na mustarad hue ab tak na mustajaab hue zihaanatein thiin tiri yaa anaaDi-pan apnaa savaal vasl se pahle hi laa-javaab hue haqiqat itni hai us ke mire taalluq ki kisi ke dukh the mire naam intisaab hue jise samajhte the sahraa vo ik samundar thaa khilaa vo shakhs to ham kaise aab aab hue na aayaa Dhang hamein koi ishq kaa 'haidar' na dil ke zakhmon ke ham se kabhi hisaab hue"
Haider QureshiHaider Qureshi
Quote
"ik khvaab ki jo aankh bhigone ke liye hai ik yaad ki siine mein chubhone ke liye hai ik zakhm ki sab zakhm bhulaa Daale hain jis ne ik gham ki jo taa-umr bhulaane ke liye hai ik ruuh ki sonaa hai magar mail bhari bhi ik aag isi mail ko dhone ke liye hai aankhon mein abhi dhuul si lamhon ki jami hai dil mein koi sailaab saa rone ke liye hai dil ko to bahut pahle se dhaDkaa saa lagaa thaa paanaa tiraa shaayad tujhe khone ke liye hai kashti kaa ye hachkolaa ye mallaah kaa chakkar kashti ko nahin mujh ko Dubone ke liye hai taqdir se laD saktaa hai koi kahaan 'haidar' vo haadsa honaa hai jo hone ke liye hai"
Haider QureshiHaider Qureshi
Quote
"kisi bhi lafz kaa jaadu asar nahin kartaa vo apne dil ki mujhe bhi khabar nahin kartaa banaa huaa hai ba-zaahir vo be-taalluq bhi jo mujh ko soche binaa din basar nahin kartaa Thaharne bhi nahin detaa hai apne dil mein mujhe mohabbatein bhi miri dil-ba-dar nahin kartaa labon mein jis ke mohabbat kaa ism-e-aazam hai na-jaane pyaar ko vo kyon amar nahin kartaa nahin basaataa jo aa kar bhi shahr-e-dil meraa yahaan se jaa ke bhi us ko khanDar nahin kartaa idhar ki mujh se chhupaataa nahin hai baat koi vo meri baatein kabhi bhi udhar nahin kartaa ajiib taur tariqe hain us ke bhi 'haidar' vo mujh se pyaar to kartaa hai par nahin kartaa"
Haider QureshiHaider Qureshi
Quote
"jo bas mein hai vo kar jaanaa zaruri ho gayaa hai tiri chaahat mein mar jaanaa zaruri ho gayaa hai hamein to ab kisi agli mohabbat ke safar par nahin jaanaa thaa par jaanaa zaruri ho gayaa hai sitaaraa jab miraa gardish se baahar aa rahaa hai to phir dil kaa Thahar jaanaa zaruri ho gayaa hai darakhton par parinde lauT aanaa chaahte hain khizaan-rut kaa guzar jaanaa zaruri ho gayaa hai andheraa is qadar gahraa gayaa hai dil ke andar koi suraj ubhar jaanaa zaruri ho gayaa hai bahut mushkil huaa andar ke rezon ko chhupaanaa so ab apnaa bikhar jaanaa zaruri ho gayaa hai tujhe main apne har dukh se bachaanaa chaahtaa huun tire dil se utar jaanaa zaruri ho gayaa hai nae zakhmon kaa haq bantaa hai ab is dil pe 'haidar' puraane zakhm bhar jaanaa zaruri ho gayaa hai"
Haider QureshiHaider Qureshi
Quote
"lafz teri yaad ke sab be-sadaa kar aae hain saare manzar aainon se khud miTaa kar aae hain jal chuke saari mahakti khvaahishon ke jab gulaab mausamon ke dukh nigaahon mein jalaa kar aae hain ek lamhe mein kai sadiyon ke naate toD kar sochte hain apne haathon se ye kyaa kar aae hain raaste to kho chuke the apni har pahchaan tak ham janaaze manzilon ke khud uThaa kar aae hai saare rishte jhuuT hain saare taalluq par fareb phir bhi sab qaaem rahein ye bad-duaa kar aae hain har chhalakte ashk mein tasvir jhalkegi tiri naqsh paani par tiraa anmiT banaa kar aae hain maut se pahle jahaan mein chand saanson kaa azaab zindagi jo qarz teraa thaa adaa kar aae hain saare shikve bhuul kar aao milein 'haidar' unhein vo gae lamhon ko phir vaapas bulaa kar aae hain"
Haider QureshiHaider Qureshi
Quote
"andar ki duniyaaein milaa ke ek nagar ho jaaein yaa phir aao mil kar TuTein aur khanDar ho jaaein ek naam paDhein yuun donon aur duaa yuun maangein yaa sajde se sar na uThein yaa lafz asar ho jaaein khair aur shar ki aamezish aur aavezish se nikhrein bhuul aur tauba karte saare saans basar ho jaaein ham azali aavaara jin kaa ghar hi nahin hai koi lekin jin raston se guzrein raste ghar ho jaaein ek gunah jo faani kar ke chhoD gayaa dharti par vahi gunah dobaara kar lein aur amar ho jaaein suufi saadhu ban kar teri khoj mein aise niklein khud hi apnaa rasta manzil aur safar ho jaaein rizq ki tangi ishq kaa rog aur log munaafiq saare aao aise shahr se 'haidar' shahr-badar ho jaaein"
Haider QureshiHaider Qureshi
Quote
"us darbaar mein laazim thaa apne sar ko kham karte varna kam-az-kam apni aavaaz hi maddham karte is ki anaa taskin nahin paati khaali lafzon se shaayad kuchh ho jaataa asar tum girya-e-paiham karte siikh liyaa hai aakhir ham ne ishq mein khush khush rahnaa dard ko apni davaa banaate zakhm ko marham karte kaam hamaare hisse ke sab kar gayaa thaa divaana kaun saa aisaa kaam thaa baaqi jis ko ab ham karte har jaane vaale ko dekh ke rakh liyaa dil par patthar kis kis ko rote aakhir kis kis kaa maatam karte dil to hamaaraa jise patthar se bhi sakht huaa thaa patthar paani ho gayaa sukhi aankhon ko nam karte ban jaataa tiryaaq usi kaa zahr agar tum 'haidar' koi aayat pyaar ki paDhte aur us par dam karte"
Haider QureshiHaider Qureshi