Shayari
ab to ye aarzu hai ki vo zakhm khaaiye
taa-zindagi ye dil na koi aarzu kare
Reflections on life, its beauty, its struggles, and its meaning.
ab to ye aarzu hai ki vo zakhm khaaiye
taa-zindagi ye dil na koi aarzu kare
jo zahr pi chukaa huun tumhin ne mujhe diyaa
ab tum to zindagi ki duaaein mujhe na do
zindagi meri thi lekin ab to
tere kahne mein rahaa karti hai
go safedi mu ki yuun raushan hai juun aab-e-hayaat
lekin apni to isi zulmaat se thi zindagi
raaz-e-hayaat puchh le khizr-e-khajista gaam se
zinda har ek chiiz hai koshish-e-naa-tamaam se
yahi hai zindagi kuchh khvaab chand ummidein
inhin khilaunon se tum bhi bahal sako to chalo
hosh vaalon ko khabar kyaa be-khudi kyaa chiiz hai
ishq kiije phir samajhiye zindagi kyaa chiiz hai
zindagi phaili hui thi shaam-e-hijraan ki tarah
kis ko itnaa hausla thaa kaun ji kar dekhtaa
zindagaani ki haqiqat kohkan ke dil se puchh
ju-e-shir o tesha o sang-e-giraan hai zindagi
rahegaa saath tiraa pyaar zindagi ban kar
ye aur baat miri zindagi vafaa na kare
zindagi par is se baDh kar tanz kyaa hogaa 'faraaz'
us kaa ye kahnaa ki tu shaaer hai divaana nahin
is zindagi mein itni faraaghat kise nasib
itnaa na yaad aa ki tujhe bhuul jaaein ham
thaa zindagi mein marg kaa khaTkaa lagaa huaa
uDne se pesh-tar bhi miraa rang zard thaa
muflison ki zindagi kaa zikr kyaa
muflisi ki maut bhi achchhi nahin
shaikh saahab se rasm-o-raah na ki
shukr hai zindagi tabaah na ki
phir usi bevafaa pe marte hain
phir vahi zindagi hamaari hai
dhuup mein niklo ghaTaaon mein nahaa kar dekho
zindagi kyaa hai kitaabon ko haTaa kar dekho
apne man mein Duub kar paa jaa suraagh-e-zindagi
tu agar meraa nahin bantaa na ban apnaa to ban
amal se zindagi banti hai jannat bhi jahannam bhi
ye khaaki apni fitrat mein na nuuri hai na naari hai
jannat ki zindagi hai jis ki fazaa mein jiinaa
meraa vatan vahi hai meraa vatan vahi hai
vidaaa karti hai rozaana zindagi mujh ko
main roz maut ke manjdhaar se nikaltaa huun
qaid-e-hayaat o band-e-gham asl mein donon ek hain
maut se pahle aadmi gham se najaat paae kyuun
zindagi se yahi gila hai mujhe
tu bahut der se milaa hai mujhe
silvaTein hain mire chehre pe to hairat kyuun hai
zindagi ne mujhe kuchh tum se ziyaada pahnaa