Shayari
kaun mar kar dobaara zinda huaa
kaun mulk-e-fanaa se lauTaa hai
nai mohabbatein 'khaalid' puraani dostiyaan
azaab-e-kashmakash-e-be-amaan mein rahte hain
نئی محبتیں خالدؔ پرانی دوستیاں
عذاب کشمکش بے اماں میں رہتے ہیں
नई मोहब्बतें 'ख़ालिद' पुरानी दोस्तियाँ
अज़ाब-ए-कशमकश-ए-बे-अमाँ में रहते हैं

kaun mar kar dobaara zinda huaa
kaun mulk-e-fanaa se lauTaa hai
pursaan-e-pareshaani-e-insaan nahin koi
qismat ki girah naakhun-e-tadbir se kholo
parakhne vaale parkheinge isi meaar par ham ko
jahaan se kyaa liyaa ham ne jahaan ko kyaa diyaa ham ne
shahidaan-e-vafaa ki manqabat likhte rahe lekin
na ki arzi khudaaon ki kabhi hamd-o-sanaa ham ne
qaasid ye zabaan us ki bayaan us kaa nahin hai
dhokaa hai tujhe us ne kahaa aur hi kuchh hai
har baat hai 'khaalid' ki zamaane se niraali
baashinda hai shaayad kisi duniyaa-e-digar kaa
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
surur-e-jaan-fazaa deti hai aaghosh-e-vatan sab ko
ki jaise bhi hon bachche maan ko pyaare ek jaise hain
'ishq mein intihaa ki had na hui
'aashiqi teri mustanad na hui
kuchh aur vus'atein darkaar hain mohabbat ko
visaal-o-hijr pe daar-o-madaar mushkil hai
ghussa aataa hai pyaar aataa hai
ghair ke ghar se yaar aataa hai