Shayari
saaqi mujhe sharaab ki tohmat nahin pasand
mujh ko tiri nigaah kaa ilzaam chaahiye
jo akasr baar-var hone se pahle TuuT jaate the
vahi khasta shikasta ahd-o-paimaan yaad aate hain
جو اکثر بار ور ہونے سے پہلے ٹوٹ جاتے تھے
وہی خستہ شکستہ عہد و پیماں یاد آتے ہیں
जो अक्सर बार-वर होने से पहले टूट जाते थे
वही ख़स्ता शिकस्ता अहद-ओ-पैमाँ याद आते हैं

saaqi mujhe sharaab ki tohmat nahin pasand
mujh ko tiri nigaah kaa ilzaam chaahiye
ijaazat ho to main tasdiq kar luun teri zulfon se
sunaa hai zindagi ik khub-surat daam hai saaqi
savaal kar ke main khud hi bahut pashemaan huun
javaab de ke mujhe aur sharmsaar na kar
marne vaale to khair hain bebas
jiine vaale kamaal karte hain
mai-kada hai yahaan sukun se baiTh
koi aafat idhar nahin aati
ai gham-e-zindagi na ho naaraaz
mujh ko aadat hai muskuraane ki
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
sab ko ham bhuul gae josh-e-junun mein lekin
ik tiri yaad thi aisi jo bhulaai na gai
duur mujh se rahte hain saare gham zamaane ke
teri yaad ki khushbu dil mein jab Thaharti hai
ji na sakun main jis ke baghair
akasr yaad na aayaa vo
aaj aaine mein khud ko dekh kar yaad aa gayaa
ek muddat ho gai jis shakhs ko dekhe hue
aaj tak yaad hai vo shaam-e-judaai kaa samaan
teri aavaaz ki larzish tire lahje ki thakan