Shayari
saaqi mujhe sharaab ki tohmat nahin pasand
mujh ko tiri nigaah kaa ilzaam chaahiye
muskuraahaT hai husn kaa zevar
muskuraanaa na bhuul jaayaa karo
مسکراہٹ ہے حسن کا زیور
مسکرانا نہ بھول جایا کرو
मुस्कुराहट है हुस्न का ज़ेवर
मुस्कुराना न भूल जाया करो

saaqi mujhe sharaab ki tohmat nahin pasand
mujh ko tiri nigaah kaa ilzaam chaahiye
ijaazat ho to main tasdiq kar luun teri zulfon se
sunaa hai zindagi ik khub-surat daam hai saaqi
savaal kar ke main khud hi bahut pashemaan huun
javaab de ke mujhe aur sharmsaar na kar
marne vaale to khair hain bebas
jiine vaale kamaal karte hain
mai-kada hai yahaan sukun se baiTh
koi aafat idhar nahin aati
ai gham-e-zindagi na ho naaraaz
mujh ko aadat hai muskuraane ki
kyon tasavvur mein ji rahaa huun main
jab haqiqat mein mar hi jaanaa hai
apni anaa ki aaj bhi taskin ham ne ki
ji bhar ke us ke husn ki tauhin ham ne ki
dekhe jo qais husn to lailaa ko bhuul jaae
ham kyaa hain rish-e-hazrat-maulaanaa jhuul jaae
na jaanaa ki duniyaa se jaataa hai koi
bahut der ki mehrbaan aate aate
kam-zarf mezbaan ki daa'vat nahin qubul
thoDi bahut pilaa ke jataanaa hai baar baar
kis kaam ki aisi sachchaai jo toD de ummidein dil ki
thoDi si tasalli ho to gai maanaa ki vo bol ke jhuuT gayaa