Shayari
saaqi mujhe sharaab ki tohmat nahin pasand
mujh ko tiri nigaah kaa ilzaam chaahiye
ye alag baat hai saaqi ki mujhe hosh nahin
hosh itnaa hai ki main tujh se faraamosh nahin
یہ الگ بات ہے ساقی کہ مجھے ہوش نہیں
ہوش اتنا ہے کہ میں تجھ سے فراموش نہیں
ये अलग बात है साक़ी कि मुझे होश नहीं
होश इतना है कि मैं तुझ से फ़रामोश नहीं

saaqi mujhe sharaab ki tohmat nahin pasand
mujh ko tiri nigaah kaa ilzaam chaahiye
ijaazat ho to main tasdiq kar luun teri zulfon se
sunaa hai zindagi ik khub-surat daam hai saaqi
savaal kar ke main khud hi bahut pashemaan huun
javaab de ke mujhe aur sharmsaar na kar
marne vaale to khair hain bebas
jiine vaale kamaal karte hain
mai-kada hai yahaan sukun se baiTh
koi aafat idhar nahin aati
ai gham-e-zindagi na ho naaraaz
mujh ko aadat hai muskuraane ki
judaaiyaan to muqaddar hain phir bhi jaan-e-safar
kuchh aur duur zaraa saath chal ke dekhte hain
mire saare badan par duriyon ki khaak bikhri hai
tumhaare saath mil kar khud ko dhonaa chaahtaa huun main
vaqt-e-rukhsat nishaani jo talab ki to kahaa
daagh kaafi hai judaai kaa agar yaad rahe
din judaai kaa diyaa vasl ki shab ke badle
lene the ai falak-e-pir ye kab ke badle
hijraton mein huzuriyon ke jatan
paanv ko duriyon ne gheraa hai
jaise do mulkon ko ik sarhad alag karti hui
vaqt ne khat aisaa khinchaa mere us ke darmiyaan