Shayari
aao aaj ham donon apnaa apnaa ghar chun lein
tum navaah-e-dil le lo khitta-e-badan meraa
ik musalsal jang thi khud se ki ham zinda hain aaj
zindagi ham teraa haq yuun bhi adaa karte rahe
اک مسلسل جنگ تھی خود سے کہ ہم زندہ ہیں آج
زندگی ہم تیرا حق یوں بھی ادا کرتے رہے
इक मुसलसल जंग थी ख़ुद से कि हम ज़िंदा हैं आज
ज़िंदगी हम तेरा हक़ यूँ भी अदा करते रहे

aao aaj ham donon apnaa apnaa ghar chun lein
tum navaah-e-dil le lo khitta-e-badan meraa
vo qayaamat thi ki reza reza ho ke uD gayaa
ai zamin varna kabhi ik aasmaan meraa bhi thaa
main tujh ko jaagti aankhon se chhu sakun na kabhi
miri anaa kaa bharam rakh le mere khvaab mein aa
apne vajud se pare ab
koi bhi raasta nahin hai
bas ik khaana-badoshi hai ki ab tak saath hai apne
taayyush hai tasavvur mein bhi ab koi makaan rakhnaa
chamak de chaand ko ThanDak havaa ko dil ko umang
udaas qisse ko phir ek shaahzaada de
kam-umri mein sunet hain
mar jaate hain achchhe log
baDe qalaq ki baat hai ki tum ise na paDh sake
hamaari zindagi to ik khuli hui kitaab thi
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar
jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain
umr bhar kaun nibhaataa hai ta'alluq itnaa
ai miri jaan ke dushman tujhe allaah rakkhe
zindagi ke bahut qarib na jaa
faasla kuchh to apne dhyaan mein rakh