Shayari
is e'tibaar pe kaaTi hai ham ne umr-e-aziz
sahar kaa vaqt ujaale bhi saath laaegaa
ham kisi sultaan ke taabe nahin 'aabid-vadud'
ham vo kahte hain jo apne dil pe hai guzri hui
ہم کسی سلطاں کے تابع نہیں عابدؔ ودود
ہم وہ کہتے ہیں جو اپنے دل پہ ہے گزری ہوئی
हम किसी सुल्ताँ के ताबे नहीं 'आबिद-वदूद'
हम वो कहते हैं जो अपने दिल पे है गुज़री हुई

is e'tibaar pe kaaTi hai ham ne umr-e-aziz
sahar kaa vaqt ujaale bhi saath laaegaa
ham faqiron kaa pairahan hai dhuup
aur ye raat apni chaadar hai
main baarishon mein bahut bhigtaa rahaa 'aabid'
sulagti dhuup mein ik chhat bahut zaruri hai
yazid-e-vaqt ne ab ke lagaai hai qadghan
ki bhuul kar bhi na gaae koi taraana-e-ishq
ab qafas aur gulistaan mein koi farq nahin
ham ko khushbu ki talab hai ye sabaa jaanti hai
sab apne apne tariqe se bhiik maangte hain
koi ba-naam-e-mohabbat koi ba-jaama-e-ishq
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
badalte vaqt ne badle mizaaj bhi kaise
tiri adaa bhi gai meraa baankpan bhi gayaa
izhaar-e-haal kaa bhi zariya nahin rahaa
dil itnaa jal gayaa hai ki aankhon mein nam nahin
shaikh aur barhaman mein agar laag hai to ho
donon shikaar-e-ghamza usi dil-rubaa ke hain
kyaa fikr-e-aab-o-naan ki gham kah rahaa hai ab
maujud huun ziyaafat-e-dil aur jigar ko main