Shayari
jaltaa hai ab talak tiri zulfon ke rashk se
har-chand ho gayaa hai chaman kaa charaagh gul
ik arz sab siin chhup kar karni hai ham kuun tum siin
raazi ho gar kaho to khalvat mein aa ke kar jaan
اک عرض سب سیں چھپ کر کرنی ہے ہم کوں تم سیں
راضی ہو گر کہو تو خلوت میں آ کے کر جاں
इक अर्ज़ सब सीं छुप कर करनी है हम कूँ तुम सीं
राज़ी हो गर कहो तो ख़ल्वत में आ के कर जाँ

jaltaa hai ab talak tiri zulfon ke rashk se
har-chand ho gayaa hai chaman kaa charaagh gul
gham siin ahl-e-bait ke ji to tiraa kuDhtaa nahin
yuun abas paDhtaa phiraa jo marsiya to kyaa huaa
kyaa sabab tere badan ke garm hone kaa sajan
aashiqon mein kaun jaltaa thaa gale kis ke lagaa
yuun 'aabru' banaave dil mein hazaar baatein
jab ru-ba-ru ho tere guftaar bhuul jaave
namkin goyaa kabaab hain phike sharaab ke
bosaa hai tujh labaan kaa maze-daar chaTpaTaa
afsos hai ki bakht hamaaraa ulaT gayaa
aataa to thaa pe dekh ke ham kuun palaT gayaa
jo dil ne kahi lab pe kahaan aai hai dekho
ab mahfil yaaraan mein bhi tanhaai hai dekho
tum mire saath ho ye sach to nahin hai lekin
main agar jhuuT na bolun to akelaa ho jaaun
tum se mile to khud se ziyaada
tum ko akelaa paayaa ham ne
duur tak ek khalaa hai so khalaa ke andar
sirf tanhaai ki surat hi nazar aaegi
kirshn 'mohan' ye bhi hai kaisaa akelaa-pan ki log
maut se Darte hain main to zindagi se Dar gayaa
aap aate hain to aa jaaein magar ye shart hai
mujh se bargashta na ho jaaein miri tanhaaiyaan