Shayari
sunaa hai log use aankh bhar ke dekhte hain
so us ke shahr mein kuchh din Thahar ke dekhte hain
jab bhi dil khol ke roe honge
log aaraam se soe honge
جب بھی دل کھول کے روئے ہوں گے
لوگ آرام سے سوئے ہوں گے
jab bhī dil khol ke ro.e hoñge
log ārām se so.e hoñge

sunaa hai log use aankh bhar ke dekhte hain
so us ke shahr mein kuchh din Thahar ke dekhte hain
TuuTaa to huun magar abhi bikhraa nahin 'faraaz'
mere badan pe jaise shikaston kaa jaal ho
'faraaz' ishq ki duniyaa to khub-surat thi
ye kis ne fitna-e-hijr-o-visaal rakkhaa hai
judaaiyaan to muqaddar hain phir bhi jaan-e-safar
kuchh aur duur zaraa saath chal ke dekhte hain
zindagi teri ataa thi so tire naam ki hai
ham ne jaise bhi basar ki tiraa ehsaan jaanaan
umr bhar kaun nibhaataa hai ta'alluq itnaa
ai miri jaan ke dushman tujhe allaah rakkhe
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
aks-e-yaad-e-yaar ko dhundlaa kiyaa hai
main ne khud ko jaan kar tanhaa kiyaa hai
lagaai kis but-e-mai-nosh ne hai taak us par
subu-ba-dosh hai saaqi jo aabla dil kaa
dil rijhaa hai tujh pe aisaa bad-gumaan hogaa nahin
tu nahin aayaa to samjhaa tu yahaan hogaa nahin
dil o nigaah kaa ye faasla bhi kyuun rah jaae
agar tu aae to main dil ko aankh mein rakh luun