Shayari
aaghosh mein mahkoge dikhaai nahin doge
tum nikhat-e-gulzaar ho ham parda-e-shab hain
shaam ko subh-e-chaman yaad aai
kis ki khushbu-e-badan yaad aai
شام کو صبح چمن یاد آئی
کس کی خوشبوئے بدن یاد آئی
शाम को सुब्ह-ए-चमन याद आई
किस की ख़ुशबू-ए-बदन याद आई

aaghosh mein mahkoge dikhaai nahin doge
tum nikhat-e-gulzaar ho ham parda-e-shab hain
gham-e-jaanaan gham-e-dauraan ki taraf yuun aayaa
jaanib shahar chale dukhtar-e-dahqaan jaise
zindagi shama ki maanind jalaataa huun 'nadim'
bujh to jaaungaa magar subah to kar jaaungaa
kis tavaqqoa pe kisi ko dekhein
koi tum se bhi hasin kyaa hogaa
ik safina hai tiri yaad agar
ik samundar hai miri tanhaai
aakhir duaa karein bhi to kis muddaaa ke saath
kaise zamin ki baat kahein aasmaan se ham
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
sab ko ham bhuul gae josh-e-junun mein lekin
ik tiri yaad thi aisi jo bhulaai na gai
bhuul gai vo shakl bhi aakhir
kab tak yaad koi rahtaa hai
kuchh is tarah se yaad aate rahe ho
ki ab bhuul jaane ko ji chaahtaa hai
bhulaa baiThe ho ham ko aaj lekin ye samajh lenaa
bahut pachhtaaoge jis vaqt ham kal yaad aaeinge
mar jaaeinge jab ham to bahut yaad karegi
ji bhar ke sataa le shab-e-hijraan koi din aur