Shayari
dilon mein karb baDhtaa jaa rahaa hai
magar chehre abhi shaadaab se hain
ye moajiza hamaare hi tarz-e-bayaan kaa thaa
us ne vo sun liyaa thaa jo ham ne kahaa na thaa
یہ معجزہ ہمارے ہی طرز بیاں کا تھا
اس نے وہ سن لیا تھا جو ہم نے کہا نہ تھا
ये मो'जिज़ा हमारे ही तर्ज़-ए-बयाँ का था
उस ने वो सुन लिया था जो हम ने कहा न था

dilon mein karb baDhtaa jaa rahaa hai
magar chehre abhi shaadaab se hain
abhi tahzib kaa nauha na likhnaa
abhi kuchh log urdu bolte hain
apnon se jang hai to bhale haar jaaun main
lekin main apne saath sipaahi na laaungaa
koi manzar nahin barsaat ke mausam mein bhi
us ki zulfon se phisalti hui dhupon jaisaa
vo jugnu ho sitaara ho ki aansu
andhere mein sabhi mahtaab se hain
ranj-o-gham sahne ki aadat ho gai hai
zinda rahne ke saliqe de gayaa vo
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
tumhein fursat ho duniyaa se to ham se aa ke milnaa
hamaare paas fursat ke sivaa kyaa rah gayaa hai
zamaana mujh se judaa ho gayaa zamaana huaa
rahaa hai ab to bichhaDne ko mujh se tu baaqi
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
balaa-e-jaan thi jo bazm-e-tamaashaa chhoD di main ne
khushaa ai zindagi khvaabon ki duniyaa chhoD di main ne