Shayari
mujhe aankhein dikhaaegi bhalaa kyaa gardish-e-dauraan
miri nazron ne dekhaa hai tiraa naa-mehrbaan honaa
A
Aleem Akhtar Muzaffarnagridard kaa phir maza hai jab 'akhtar'
dard khud chaarasaaz ho jaae
درد کا پھر مزہ ہے جب اخترؔ
درد خود چارہ ساز ہو جائے
दर्द का फिर मज़ा है जब 'अख़्तर'
दर्द ख़ुद चारासाज़ हो जाए
mujhe aankhein dikhaaegi bhalaa kyaa gardish-e-dauraan
miri nazron ne dekhaa hai tiraa naa-mehrbaan honaa
dard baDh kar davaa na ho jaae
zindagi be-mazaa na ho jaae
ye aur baat ki iqraar kar sakein na kabhi
miri vafaa kaa magar un ko e'tibaar to hai
hamein duniyaa mein apne gham se matlab
zamaane ki khushi se vaastaa kyaa
vo ta'alluq hai tire gham se ki allaah allaah
ham ko haasil ho khushi bhi to gavaaraa na karein
mujhe to kal bhi na thaa un par ikhtiyaar koi
aur un ko mujh pe vahi ikhtiyaar aaj bhi hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ranj-o-gham aur alam-o-dard kaa lashkar nikle
ishq to tab hai jab aankhon se samandar nikle
bhigi miTTi ki mahak pyaas baDhaa deti hai
dard barsaat ki bundon mein basaa kartaa hai
khuub jiine kaa mazaa paate hain ham
khun-e-dil piite hain gham khaate hain ham