Shayari
jo tum ho to ye kaise maan luun main
ki jo kuchh hai yahaan bas ik gumaan hai
dil jin ko DhunDhtaa hai na-jaane kahaan gae
khvaab-o-khayaal se vo zamaane kahaan gae
دل جن کو ڈھونڈھتا ہے نہ جانے کہاں گئے
خواب و خیال سے وہ زمانے کہاں گئے
दिल जिन को ढूँढता है न-जाने कहाँ गए
ख़्वाब-ओ-ख़याल से वो ज़माने कहाँ गए

jo tum ho to ye kaise maan luun main
ki jo kuchh hai yahaan bas ik gumaan hai
duniyaa to ham se haath milaane ko aai thi
ham ne hi eatibaar dobaara nahin kiyaa
is aarzi duniyaa mein har baat adhuri hai
har jiit hai laa-haasil har maat adhuri hai
ham to sunte the ki mil jaate hain bichhDe hue log
tu jo bichhDaa hai to kyaa vaqt ne gardish nahin ki
faisla bichhaDne kaa kar liyaa hai jab tum ne
phir miri tamannaa kyaa phir miri ijaazat kyuun
taalluq jo bhi rakkho soch lenaa
ki ham rishta nibhaanaa jaante hain
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
khudaa ke haath mein mat saunp saare kaamon ko
badalte vaqt pe kuchh apnaa ikhtiyaar bhi rakh
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
badalte vaqt ne badle mizaaj bhi kaise
tiri adaa bhi gai meraa baankpan bhi gayaa
na ho ehsaas to saaraa jahaan hai be-his-o-murda
gudaaz-e-dil ho to dukhti ragein milti hain patthar mein
nizaam-e-mai-kada saaqi badalne ki zarurat hai
hazaaron hain safein jin mein na mai aai na jaam aayaa