Shayari
maut ki aarzu mein divaane
umr-bhar zindagi se laDte hain
phir ahl-e-ishq ki takhliq hoti hai pahle
junun ki aag mein barson khamir rahtaa hai
پھر اہل عشق کی تخلیق ہوتی ہے پہلے
جنوں کی آگ میں برسوں خمیر رہتا ہے
फिर अहल-ए-इश्क़ की तख़्लीक़ होती है पहले
जुनूँ की आग में बरसों ख़मीर रहता है

maut ki aarzu mein divaane
umr-bhar zindagi se laDte hain
main muskuraataa magar di na ashk ne mohlat
khushi jab ek mili saath gham hazaar mile
'abr' duniyaa ko chhoD jaane kaa
ik bahaana talaash karnaa hai
lafz yuun khaamushi se laDte hain
jis tarah gham hansi se laDte hain
tujh pe jami hain sab ki nazrein
teri nazar mein kaun rahegaa
aaj insaan ko tapte sahraa mein
bahtaa dariyaa talaash karnaa hai
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
thak gayaa hai dil-e-vahshi miraa fariyaad se bhi
ji bahaltaa nahin ai dost tiri yaad se bhi
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
jin se afsaana-e-hasti mein tasalsul thaa kabhi
un mohabbat ki rivaayaat ne dam toD diyaa