Shayari
raasta rok liyaa meraa kisi bachche ne
is mein koi to 'asar' meri bhalaai hogi
udaas ho na tu ai dil kisi ke rone se
khushi ke saath ghamon ko bikharte dekhaa hai
اداس ہو نہ تو اے دل کسی کے رونے سے
خوشی کے ساتھ غموں کو بکھرتے دیکھا ہے
उदास हो न तू ऐ दिल किसी के रोने से
ख़ुशी के साथ ग़मों को बिखरते देखा है

raasta rok liyaa meraa kisi bachche ne
is mein koi to 'asar' meri bhalaai hogi
ulfat kaa hai maza ki 'asar' gham bhi saath hon
taarikiyaan bhi saath rahein raushni ke saath
zindagi tujh se ye gilaa hai mujhe
koi apnaa nahin milaa hai mujhe
fikr-e-jahaan dard-e-mohabbat firaaq-e-yaar
kyaa kahiye kitne gham hain miri zindagi ke saath
saaya bhi saath chhoD gayaa ab to ai 'asar'
phir kis liye main aaj ko kal se judaa karun
ulfat ke badle un se milaa dard-e-laa-ilaaj
itnaa baDhe hai dard main jitni davaa karun
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ik safina hai tiri yaad agar
ik samundar hai miri tanhaai
udaasi muskuraati hai miyaan tab sher hote hain
nami aankhon mein aati hai miyaan tab sher hote hain
zard chehron se udaasi ke bichhaDne kaa sabab
log puchheinge to kah denaa ki dukh haar gayaa