Shayari
zarurat Dhal gai rishte mein varna
yahaan koi kisi kaa apnaa kab hai
koi bhi khush nahin hai is khabar se
ki duniyaa jald lauTegi safar se
کوئی بھی خوش نہیں ہے اس خبر سے
کہ دنیا جلد لوٹے گی سفر سے
कोई भी ख़ुश नहीं है इस ख़बर से
कि दुनिया जल्द लौटेगी सफ़र से

zarurat Dhal gai rishte mein varna
yahaan koi kisi kaa apnaa kab hai
sabr ki had bhi to kuchh hoti hai
kitnaa palkon pe sambhaalun paani
aaj bhi 'prem' ke aur 'krishn' ke afsaane hain
aaj bhi vaqt ki jamhuri zabaan hai urdu
adab hi zindagi mein jab na aayaa
adab mein itni mehnat kis liye hai
kisi ke jism-o-jaan chhalni kisi ke baal-o-par TuuTe
jali shaakhon pe yuun laTke kabutar dekh aayaa huun
khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa
zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
nahin nahin main bahut khush rahaa huun tere baghair
yaqin kar ki ye haalat abhi abhi hui hai
ye do-dili mein rahaa ghar na ghaaT kaa 'anjum'
buton ko kar na sakaa khush khudaa ko paa na sakaa
rang ho raushni ho yaa khushbu
sab mein partav usi hasin ke hain
jaane kyaa kah rahaa thaa vo mujh se
main ne bhi kah diyaa ki khush huun main
tum se Takraae to huaa maa'lum
haadse khushnumaa bhi hote hain