Shayari
akelaa main hi nahin jaa rahaa huun basti se
ye raushni bhi mire saath jaane vaali hai
apne viraane kaa nuqsaan nahin chaahtaa main
yaani ab dusraa insaan nahin chaahtaa main
اپنے ویرانے کا نقصان نہیں چاہتا میں
یعنی اب دوسرا انسان نہیں چاہتا میں
अपने वीराने का नुक़सान नहीं चाहता मैं
या'नी अब दूसरा इंसान नहीं चाहता मैं

akelaa main hi nahin jaa rahaa huun basti se
ye raushni bhi mire saath jaane vaali hai
hansi mazaaq ki baatein yahin pe khatm huiin
ab is ke baa'd kahaani rulaane vaali hai
tu kahaani ke badalte hue manzar ko samajh
khuun rote hue kirdaar ki jaanib mat dekh
yuun to har ek shakhs kaa apnaa hi shor hai
lekin kisi se koi yahaan boltaa nahin
jo rukaavaT thi hamaari raah ki
raasta niklaa usi divaar se
mujhe bayaan kar rahaa thaa koi shakhs
main apni daastaan DhunDhtaa rahaa
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
har taur har tarah ki jo zillat mujhi ko hai
duniyaa mein kyaa kisi se mohabbat mujhi ko hai
main jiyun ehsaan biThaa kar vo bhi ik kam-zarf kaa
zindagi pyaari hai lekin is qadar pyaari nahin
kam-zarf zamaane ki hiqaarat kaa gila kyaa
main khush huun miraa pyaar samundar ki tarah hai
rah-e-vafaa mein luTaa kar mataa-e-qalb-o-jigar
kiyaa hai teri mohabbat kaa haq adaa main ne