Shayari
kisi ke jaal mein aa kar main apnaa dil ganvaa baiThaa
mujhe thaa ishq qaatil se main apnaa sar kaTaa baiThaa
aatish-e-ishq jab jalaati hai
jal ke main nosh-e-jaam kartaa huun
آتش عشق جب جلاتی ہے
جل کے میں نوش جام کرتا ہوں
आतिश-ए-इश्क़ जब जलाती है
जल के मैं नोश-ए-जाम करता हूँ

kisi ke jaal mein aa kar main apnaa dil ganvaa baiThaa
mujhe thaa ishq qaatil se main apnaa sar kaTaa baiThaa
ai pari-zaad tere jaane par
ho gayaa khud se raabta meraa
thakan se chuur hai saaraa vajud ab meraa
main bojh itne ghamon kaa to Dho nahin saktaa
dil ne ham se ajab hi kaam liyaa
ham ko bechaa magar na daam liyaa
muflisi ne jaa-ba-jaa luuTaa hamein
ab bachaa kuchh bhi nahin luTvaaein kyaa
dil se aakhir charaagh-e-vasl bujhaa
kyaa tamannaa ne intiqaam liyaa
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ye raah-e-ishq hai aakhir koi mazaaq nahin
saubaton se jo ghabraa gae hon ghar jaaein
aaghaaz-e-mohabbat se anjaam-e-mohabbat tak
guzraa hai jo kuchh ham par tum ne bhi sunaa hogaa
asar-e-ishq se huun surat-e-shama khaamosh
ye muraqqaa hai miri hasrat-e-goyaai kaa
tiri giraft miraa martaba baDhaati hai
mujhe tu apni mohabbat mein mubtalaa rakhnaa