Shayari
muskuraa kar agar vo dekhe to
aaine par nishaan paD jaae
zamin pe sirf utaaraa nahin 'munir' us ne
phir us ke baa'd hamaaraa khayaal bhi rakkhaa
زمیں پہ صرف اتارا نہیں منیرؔ اس نے
پھر اس کے بعد ہمارا خیال بھی رکھا
ज़मीं पे सिर्फ़ उतारा नहीं 'मुनीर' उस ने
फिर उस के बा'द हमारा ख़याल भी रक्खा

muskuraa kar agar vo dekhe to
aaine par nishaan paD jaae
kunj-e-hairat se chale dasht-e-ziyaan tak laae
kaun laa saktaa hai ham dil ko jahaan tak laae
ek ummid ke sahaare par
kitni taakhir dekh lete hain
kyaa khabar kaun saa rasta tiri jaanib nikle
be-iraada bhi kai baar safar karte hain
laD rahaa huun main akelaa kaar-zaar-e-hast mein
kar faraaham tu bhi zaalim apne hone kaa javaaz
paD jaate hain kitne chhaale haathon mein
aate hain phir chand nivaale haathon mein
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
zamaana mujh se judaa ho gayaa zamaana huaa
rahaa hai ab to bichhaDne ko mujh se tu baaqi
tumhein fursat ho duniyaa se to ham se aa ke milnaa
hamaare paas fursat ke sivaa kyaa rah gayaa hai
ret par ik nishaan hai shaayad
ye hamaaraa makaan hai shaayad