Shayari
gardish-e-bakht se baDhti hi chali jaati hain
miri dil-bastagiyaan zulf-e-girah-gir ke saath
aansu miri aankhon mein hain naale mire lab par
saudaa mire sar mein hai tamannaa mire dil mein
آنسو مری آنکھوں میں ہیں نالے مرے لب پر
سودا مرے سر میں ہے تمنا مرے دل میں
आँसू मिरी आँखों में हैं नाले मिरे लब पर
सौदा मिरे सर में है तमन्ना मिरे दिल में

gardish-e-bakht se baDhti hi chali jaati hain
miri dil-bastagiyaan zulf-e-girah-gir ke saath
shikva sun kar jo mizaaj-e-but-e-bad-khu badlaa
ham ne bhi saath hi taqrir kaa pahlu badlaa
khuun ho jaaein khaak mein mil jaaein
hazrat-e-dil se kuchh baiid nahin
vo un kaa vasl mein ye kah ke muskuraa denaa
tulu-e-subh se pahle hamein jagaa denaa
vo jo kar rahe hain bajaa kar rahe hain
ye jo ho rahaa hai bajaa ho rahaa hai
apni khu-e-vafaa se Dartaa huun
aashiqi bandagi na ho jaae
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ik sadma-e-mohabbat ik sadma-e-judaai
ginti ke do hain lekin laakhon ki jaan par hain
ye saal tul-e-masaafat se chuur chuur gayaa
ye ek saal to guzraa hai ik sadi ki tarah
kisi ki yaad manaane mein iid guzregi
so shahr-e-dil mein bahut duur tak udaasi hai