Shayari
naam tumhaaraa haath pe likhnaa yaad rahaa
ham us ko taqdir banaanaa bhuul gae
bahut kaDaa thaa vo lamha judaa hue jis pal
ajab hai phir bhi mire tan mein jaan baaqi hai
بہت کڑا تھا وہ لمحہ جدا ہوئے جس پل
عجب ہے پھر بھی مرے تن میں جان باقی ہے
बहुत कड़ा था वो लम्हा जुदा हुए जिस पल
अजब है फिर भी मिरे तन में जान बाक़ी है

naam tumhaaraa haath pe likhnaa yaad rahaa
ham us ko taqdir banaanaa bhuul gae
aap ki jaanib se aae to uThaa kar rakh liye
pattharon se ghar sajaane kaa kabhi sochaa na thaa
us se bichhaD ke dil kaa huaa hai ajiib haal
paane ki aarzu gai khone kaa Dar gayaa
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
kyon tasavvur mein ji rahaa huun main
jab haqiqat mein mar hi jaanaa hai
duniyaa gharib jaan ke hansti thi 'mir' par
'iqbaal' mujh pe aise ye duniyaa hansi ki bas
na jaane us ne khule aasmaan mein kyaa dekhaa
parinda phir se jahaan-e-qafas mein lauT aayaa
barsaat kaa baadal to divaana hai kyaa jaane
kis raah se bachnaa hai kis chhat ko bhigonaa hai
vo kuchh muskuraanaa vo kuchh jheinp jaanaa
javaani adaaein sikhaati hain kyaa kyaa