Shayari
dilon ke mel se aage labon ke silsile saare
jo lab khaamosh hote hain to aankhein baat karti hain
ye ghaTaa jaam aur tanhaai
yaad aataa hai bevafaa koi
یہ گھٹا جام اور تنہائی
یاد آتا ہے بے وفا کوئی
ये घटा जाम और तन्हाई
याद आता है बेवफ़ा कोई

dilon ke mel se aage labon ke silsile saare
jo lab khaamosh hote hain to aankhein baat karti hain
tumhi ne raah mein ik ghar basaa liyaa varna
mohabbaton kaa safar to tavil thaa jaanaan
jis ki khaatir sabhi rishton se huaa thaa munkir
ab sunaa hai ki vahi shakhs khafaa hai mujh se
us kaa andaaz ruuTh jaane kaa
hai bahaana qarib aane kaa
vo ek moD jahaan vo kabhi milaa thaa mujhe
us ek moD par us ko judaa bhi honaa thaa
parinde so gae jaa ke gharon mein
shajar jangal mein phir kyuun jaagtaa hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
qaanun jaise kho chukaa sadiyon kaa e'timaad
ab kaun dekhtaa hai khataa kaa hai rukh kidhar
mohabbat karne vaale dard mein tanhaa nahin hote
jo ruThoge kabhi mujh se to apnaa dil dukhaaoge
ai gham-e-zindagi na ho naaraaz
mujh ko aadat hai muskuraane ki