Shayari
hai naved-e-bahaar har lab par
kam-nasibon ko e'tibaar nahin
faiz-e-ayyaam-e-bahaar ahl-e-qafas kyaa jaanein
chand tinke the nasheman ke jo ham tak pahunche
فیض ایام بہار اہل قفس کیا جانیں
چند تنکے تھے نشیمن کے جو ہم تک پہنچے
फ़ैज़-ए-अय्याम-ए-बहार अहल-ए-क़फ़स क्या जानें
चंद तिनके थे नशेमन के जो हम तक पहुँचे

hai naved-e-bahaar har lab par
kam-nasibon ko e'tibaar nahin
gulon se itni bhi vaabastagi nahin achchhi
rahe khayaal ki ahd-e-khizaan bhi aataa hai
ek kaaba ke sanam toDe to kyaa
nasl-o-millat ke sanam-khaane bahut
tag-o-taaz-e-paiham hai miraas-e-aadam
mire muntazir kuchh jahaan aur bhi hain
mere liye jiine kaa sahaaraa hai abhi tak
vo ahd-e-tamannaa ki tumhein yaad na hogaa
raanaai-e-bahaar pe the sab farefta
afsos koi mahram-e-raaz-e-khizaan na thaa
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
kahaan milegi misaal meri sitamgari ki
ki main gulaabon ke zakhm kaanTon se si rahaa huun
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
tum gae raunaq-e-bahaar gai
tum na jaao bahaar ke din hain
phuul the rang the lamhon ki sabaahat ham the
aise zinda the ki jiine ki alaamat ham the
hazaar barq gire laakh aandhiyaan uTThein
vo phuul khil ke raheinge jo khilne vaale hain