Shayari
gulon se itni bhi vaabastagi nahin achchhi
rahe khayaal ki ahd-e-khizaan bhi aataa hai
hai naved-e-bahaar har lab par
kam-nasibon ko e'tibaar nahin
ہے نوید بہار ہر لب پر
کم نصیبوں کو اعتبار نہیں
है नवेद-ए-बहार हर लब पर
कम-नसीबों को ए'तिबार नहीं

gulon se itni bhi vaabastagi nahin achchhi
rahe khayaal ki ahd-e-khizaan bhi aataa hai
ek kaaba ke sanam toDe to kyaa
nasl-o-millat ke sanam-khaane bahut
tag-o-taaz-e-paiham hai miraas-e-aadam
mire muntazir kuchh jahaan aur bhi hain
faiz-e-ayyaam-e-bahaar ahl-e-qafas kyaa jaanein
chand tinke the nasheman ke jo ham tak pahunche
mere liye jiine kaa sahaaraa hai abhi tak
vo ahd-e-tamannaa ki tumhein yaad na hogaa
raanaai-e-bahaar pe the sab farefta
afsos koi mahram-e-raaz-e-khizaan na thaa
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
kahaan milegi misaal meri sitamgari ki
ki main gulaabon ke zakhm kaanTon se si rahaa huun
gul us nigah ke zakhm-rasidon mein mil gayaa
ye bhi lahu lagaa ke shahidon mein mil gayaa
tere aane se yu khushi hai dil
juun ki bulbul bahaar ki khaatir
gulshan-e-dahr mein sau rang hain 'haatim' us ke
vo kahin gul hai kahin bu hai kahin buuTaa hai