Shayari
hai naved-e-bahaar har lab par
kam-nasibon ko e'tibaar nahin
gulon se itni bhi vaabastagi nahin achchhi
rahe khayaal ki ahd-e-khizaan bhi aataa hai
گلوں سے اتنی بھی وابستگی نہیں اچھی
رہے خیال کہ عہد خزاں بھی آتا ہے
गुलों से इतनी भी वाबस्तगी नहीं अच्छी
रहे ख़याल कि अहद-ए-ख़िज़ाँ भी आता है

hai naved-e-bahaar har lab par
kam-nasibon ko e'tibaar nahin
ek kaaba ke sanam toDe to kyaa
nasl-o-millat ke sanam-khaane bahut
tag-o-taaz-e-paiham hai miraas-e-aadam
mire muntazir kuchh jahaan aur bhi hain
faiz-e-ayyaam-e-bahaar ahl-e-qafas kyaa jaanein
chand tinke the nasheman ke jo ham tak pahunche
mere liye jiine kaa sahaaraa hai abhi tak
vo ahd-e-tamannaa ki tumhein yaad na hogaa
raanaai-e-bahaar pe the sab farefta
afsos koi mahram-e-raaz-e-khizaan na thaa
shaahraahein dafatan shoale ugalne lag gaiin
ghar ki jaanib chal paDaa hai shahr gheraa kar tamaam
kahaan milegi misaal meri sitamgari ki
ki main gulaabon ke zakhm kaanTon se si rahaa huun
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
vo to bachchon ki patangon ne use gher liyaa
varna chupke se nikal jaati bahaar aai hui
main apni jaan mein use jazb kis tarah kartaa
use gale se lagaayaa lagaa ke chhoD diyaa
yaar hote to mujhe munh pe buraa kah dete
bazm mein meraa gilaa sab ne kiyaa mere baad