Shayari
kal yahi bachche samundar ko muqaabil paaeinge
aaj tairaate hain jo kaaghaz ki nannhi kashtiyaan
diye bujhaati rahi dil bujhaa sake to bujhaae
havaa ke saamne ye imtihaan rakhnaa hai
دیے بجھاتی رہی دل بجھا سکے تو بجھائے
ہوا کے سامنے یہ امتحان رکھنا ہے
दिए बुझाती रही दिल बुझा सके तो बुझाए
हवा के सामने ये इम्तिहान रखना है

kal yahi bachche samundar ko muqaabil paaeinge
aaj tairaate hain jo kaaghaz ki nannhi kashtiyaan
baDon ne us ko chhin liyaa hai bachchon se
khabar nahin ab kyaa ho haal khilaune kaa
banaae jaataa thaa main apne haath ko kashkol
so meri ruuh mein khanjar utartaa jaataa thaa
na TuuTe aur kuchh din tujh se rishta is tarah meraa
mujhe barbaad kar de tu magar aahista aahista
vafaa parchhaain ki andhi parastish
mohabbat naam hai mahrumiyon kaa
paayaa jab se zakhm kisi ko khone kaa
sikhaa fan ham ne be-aansu rone kaa
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
shama bujh kar rah gai parvaana jal kar rah gayaa
yaadgaar-e-husn-o-ishq ik daagh dil par rah gayaa
unhein apne dil ki khabrein mire dil se mil rahi hain
main jo un se ruuTh jaaun to payaam tak na pahunche
dil-e-haris hi apnaa na ho sakaa qaane
vagarna tere karam mein to kuchh kami na rahi
khudaa ke haath mein mat saunp saare kaamon ko
badalte vaqt pe kuchh apnaa ikhtiyaar bhi rakh
chaand ne taan li hai chaadar-e-abr
ab vo kapDe badal rahi hogi