Shayari
gham-e-aarzu kaa 'hasrat' sabab aur kyaa bataaun
miri himmaton ki pasti mire shauq ki bulandi
husn-e-be-parvaa ko khud-bin o khud-aaraa kar diyaa
kyaa kiyaa main ne ki izhaar-e-tamannaa kar diyaa
حسن بے پروا کو خودبین و خود آرا کر دیا
کیا کیا میں نے کہ اظہار تمنا کر دیا
हुस्न-ए-बे-परवा को ख़ुद-बीन ओ ख़ुद-आरा कर दिया
क्या किया मैं ने कि इज़हार-ए-तमन्ना कर दिया

gham-e-aarzu kaa 'hasrat' sabab aur kyaa bataaun
miri himmaton ki pasti mire shauq ki bulandi
raat din naama-o-paighaam kahaan tak doge
saaf kah dijiye milnaa hamein manzur nahin
'hasrat' bahut hai martaba-e-aashiqi buland
tujh ko to muft logon ne mashhur kar diyaa
taasir-e-barq-e-husn jo un ke sukhan mein thi
ik larzish-e-khafi mire saare badan mein thi
ham kyaa karein agar na tiri aarzu karein
duniyaa mein aur bhi koi tere sivaa hai kyaa
chhup nahin sakti chhupaane se mohabbat ki nazar
paD hi jaati hai rukh-e-yaar pe hasrat ki nazar
kyon tasavvur mein ji rahaa huun main
jab haqiqat mein mar hi jaanaa hai
apni anaa ki aaj bhi taskin ham ne ki
ji bhar ke us ke husn ki tauhin ham ne ki
dil ko jaanaan se 'hasan' samjhaa-bujhaa ke laae the
dil hamein samjhaa-bujhaa kar su-e-jaanaan le chalaa
main tujh ko jaagti aankhon se chhu sakun na kabhi
miri anaa kaa bharam rakh le mere khvaab mein aa
fasaana ab koi anjaam paanaa chaahtaa hai
taalluq TuTne ko ik bahaana chaahtaa hai
zaraa saa mil ke dikhaao ki aise milte hain
bahut pataa hai tumhein chhoD jaanaa aataa hai