Shayari
ab dilon mein koi gunjaaish nahin milti 'hayaat'
bas kitaabon mein likkhaa harf-e-vafaa rah jaaegaa
H
Hayat Lakhnavimuddaaa ham apnaa kaaghaz par raqam kar jaaeinge
vaqt ke haathon mein apnaa faislaa rah jaaegaa
مدعا ہم اپنا کاغذ پر رقم کر جائیں گے
وقت کے ہاتھوں میں اپنا فیصلا رہ جائے گا
मुद्दआ हम अपना काग़ज़ पर रक़म कर जाएँगे
वक़्त के हाथों में अपना फ़ैस्ला रह जाएगा
ab dilon mein koi gunjaaish nahin milti 'hayaat'
bas kitaabon mein likkhaa harf-e-vafaa rah jaaegaa
silsila khvaabon kaa sab yunhi dharaa rah jaaegaa
ek din bistar pe koi jaagtaa rah jaaegaa
khudaa ke vaaste mohr-e-sukut toD bhi de
tamaam shahr tiri guftugu kaa pyaasaa hai
ye jazba-e-talab to miraa mar na jaaegaa
tum bhi agar miloge to ji bhar na jaaegaa
har sadaa se bach ke vo ehsaas-e-tanhaai mein hai
apne hi divaar-o-dar mein gunjtaa rah jaaegaa
chehre ko tere dekh ke khaamosh ho gayaa
aisaa nahin savaal tiraa laa-javaab thaa
khudaayaa aajizi se main ne maangaa kyaa milaa kyaa
asar meri duaaon kaa ye ulTaa kyuun huaa hai
kis shaan se gae hain shahidaan-e-ku-e-yaar
qaatil bhi haath uThaa ke sharik-e-duaa hue
kami kuchh apne hi zauq-e-talab mein hai varna
du'aa kaa harf kabhi be-asar nahin jaataa
falak pe bhiiD lagi thi shikasta aahon ki
duaa se pahle mujhe raasta banaanaa paDaa
zamaane-bhar ki duaaein mire liye thiin magar
main chaahtaa hi nahin thaa ki sabr aa jaae
duaa hi vajh-e-karaamaat thoDi hoti hai
ghazab ki dhuup mein barsaat thoDi hoti hai